keya ambiya aur imaam (a.s ) murdon ko zinda karte the ? | kis ko zinda kiya ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, May 30, 2020

keya ambiya aur imaam (a.s ) murdon ko zinda karte the ? | kis ko zinda kiya ?

Sawaal az : mohtaram janaab Syed ali Abbas sb / up india


Salamun Alaikum Agha!


Question- Arz hai...
Maula Ali (a.s) aur Janabe Isa murdo ko zinda karte the, Iska reference kis kitaab me hai ?
Iske alawa bhi koi aur Imam ya Nabi the jo murdo ko zinda karte ho ?


Wassalam..!!


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ji qur'aan majid ne Janaabe Eisa ke mota'alliq ye bataaya hai ke oun'hon ne Allaah ke hukm se murde zinda kiae


(aale imraan 49 / maaeda 110)


Rewaayat wa tafsir ke motaabiq Janaabe Eisa ne 4 logon ko zinda kiya :


  1. Aazar (عَازَر) :

  2. sab se pahle apne dost "Aazar" ko dafn hone ke 3 (ya 4 ya 40) roz baad zinda kiya, zinda hone ke baad shaadi ki aur bach'che bhi huae


  3. Ibne Ajuz (budhe ya paiydaa'aeshi safed baalon waale) shaks ka farzand :

  4. zinda hone ke baad is ke bhi bach'che huae


  5. Aashir (عاشر) ki beti :

  6. dobaara zinda hone ke baad is ladki ke bhi baal bach'che huae


  7. Saam Bin Nuh :

  8. baaz rewaayaton ke motaabiq aakheri fard jis ko Janaabe Eisa ne zinda kiya Janaabe Nuh ke farzand "Saam" the,
    aap saam ki qabr par khade huae aur khoda ke isme aazam ke zariae doa ki Saam zinda ho kar qabr se aiysi haalat me nikle ke sar ke aadhe baal safed ho chuke the, Janaabe Eisi se puchha keya qeyaamat barpa ho gaei ? aap ne farmaaya nahi ham ne doa ki thi is liae khoda ne aap ko zinda kar diya


    Saam ne paanch saw (500) saal tulaani arse tak is dunya me zindagi guzaari thi, ous ke baa'wojud sar ke baal safed nahi huae the lekin qeyaamat ke khauf se sar ke aadhe baal safed ho ga'ae


    Janaabe Eisa ne Saam se kaha dobaara inteqaal kar jaao to Saam ne kaha is shart ke saath rehlat karunga ke sakaraate maut (jaan kani ki taklif) se ham ko bachaa'aen, Janaabe Eisa ki doa ke baad aiysa hi huaa


    (mazid tafsil ke liae tafsir " majma'oul bayaan " jild 2 p 570 aale imraan aayat 49 ki tafsir padh len)

dusre ambiya jaiyse Janaabe "Yasa" aur Janaabe "Hizqil" waghairah ne bhi murdon ko zinda kiya


Janaabe Hizqil ne 70 hazaar ghar ke aiyse murdon ko zinda kiya jo maaldaar the, taaoun (طاعون) ke dar se gharibon ko chhod kar dusri jagah bhaag ga'ae, lekin wahaan bhi nahi bach sake, khoda ne sab ko maut ki nind sola diya


(surah baqara aayat 243 ke zimn me Imaam Baaqir wa Imaam Saadiq (عليهما السلام) ki jaanib se is waaqe'aa ka tafsili zikr hai " foruae kaafi = rauzatul kaafi jild 8 p 170 hadis 237)


Amirul Momenin Ali aur dusre Imaamon (صلوات الله عليهم) ne bhi murdon ko zinda kiya :


waaqe'aat wa rewaayaat bahot hain, misaal ke taur par chand waaqe'aat wa rewaayaat ki taraf tafsil ko nazar andaaz karte huae aeshaara kiya jaa raha hai, tafsil ke liae diae ga'ae hawaale dekh len


  1. Amirul Momenin (عليه السلام) ne bhi khoda ki aejaazat se "Saam Bin Nuh" ko zinda kiya, zinda ho kar aek jamaa'at ki maujudgi me tauhid, resaalat aur aap ki imaamat ki gawaahi di

  2. (madinatul ma'aajiz jild 1 p 107 fasl 54 / taalif mohaddise jalil aalime nabil haashim bahraani)


  3. Janaabe Eisa ke wasi Janaabe "Sham'oun = شمعون " (masihi in ko pitrus = پطرس bhi kahte hain) ko Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ne zinda kiya, zinda hone ke baad salaam kiya aur kaha "marhaba" (keya kahna) ay aakheri nabi ke wasi ...

  4. (hawaalae saabiq p 108 fasl 56)


  5. Ansaar ki aek aurat ba'naame "Oumme Farwa = ام فروه" ko Amirul Momenin Ali (عليه السلام) se mohabbat ke jurm me shahid kar diya gaya tha
    jab aap ko khabar mili to Oumme Farwa ki qabr par khade ho kar kaha :

  6. "ay maut ke baad logon ko zinda karne waale, ay maut ke baad bosida haddiyon ko paiyda karne waale hamaare liae Oumme Farwa ko zinda kar aur jis ne teri naafarmaani ki hai ous ke liae neshaane ibrat bana de ...


    phir qabr par maara aur kaha :


    "ay Allaah ki kaniz khoda ke izn se outho" aap ki aawaaz sun kar qabr shaq huei aur qabr ke andar se nikal kar Oumme Farwa bolin :


    "log aap ke nur ko bujhaana chaahte hain lekin khoda ne aiysa nahi hone diya ..." 


    Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ne Oumme Farwa ko oun ke shauhar ke paas pahuncha diya baad me 2 ladke bhi huae aur Amirul Momenin Ali (عليه السلام) ke baad 6 mahine zinda rahin


    (hawaalae saabiq p 111 fasl 60)

Imaam Husain ( عليه السلام ) ke murdon ko zinda karne ka waaqe'aa :


"Yahya Bin Oumme Tawil" se manqul hai :


ham Imaam Husain (عليه السلام) ki khidmat me the, aek jawaan girya karte huae sharaf yaab huaa, Imaam Husain (عليه السلام) ne puchha keyon ro rahe ho ? ous ne kaha meri maa ka abhi inteqaal huaa hai, meri maa daulat mand thin lekin amwaal ke mota'alliq wasiyat kiae beghair is dunya se chal basin, bas aetna kaha tha aap ko khabar diae beghair kuchh na karun, Imaam Husain (عليه السلام) ne apne as'haab se farmaaya outho is jawaan ke ghar chalen, raawi kahta hai jis ghar me laash rakhi thi wahaan ga'ae


Imaam Husain ( عليه السلام ) ne baargaahe khoda me doa ki ke zinda ho jaa'ae taake wasiyat kare, wo zinda ho gaei ... aur Imaam (عليه السلام) se kaha :


ay mere maula wa aaqa ghar ke andar tashrif laa'aen, Imaam (عليه السلام) daakhil huae aur ous ke qarib baith kar farmaaya :


khoda tum par rahmat naazil kare, wasiyat karo


aurat ne kaha : ay Farzande Rasul (صلى الله عليه و آله) folaan jagah is meqdaar me mera maal hai ous ka aek tehaaei hissa aap ke liae hai aap jahaan behtar samjhen ous ko kharch karen aur baaqi mere bete ke liae hai
lekin is shart ke saath ke aap ke chaahne waalon me se rahe, agar aap ke mokhaalefin me se ho to ous ke liae kuchh bhi nahi hai sab aap ka hai


is ke baad ous aurat ne kaha aap se aek darkhaast hai ke meri namaaze janaaza aap padhaa'aen aur saara kaam aap ki negraani me anjaam paa'ae phir wo aurat chal basi


(Behaarul anwaar jild 44 p 180 hadis 3)


dusre ye ke :


motabar ketaabon me aek waaqe'aa ka zikr hai, jaiyse Shaikh Ansaari (رضوان الله تعالى عليه) ne apni mash'huro maaruf ketaab "makaasib" me bhi ous waaqeaa ki taraf aeshaara kiya hai


(is ketaab ko padh kar log aalim, mujtahid aur marja bante hain)


waaqe'aa yun hai ke :


Abbaasi khalifa Maamun ne Imaam Reza (عليه السلام) ki be'hurmati karne aur aap ki karaamaton ko maamuli wa kam ahamiyat bataane ke liae apne darbaar me aek bahot bade jaadu gar ko bulwaaya ...


bistar ya farsh ya takiya par naqsh kiae ga'ae 2 sher ko Imaam Reza (عليه السلام) ne hukm diya ke saahir ko khaa jaao, wo donon naqsh (taswir) 2 sher ban ga'ae aur jaadu gar ko chir phaad kar khaa ga'ae, ye manzar dekh kar Maamun be'hosh ho gaya ...


phir ba'hukme Imaam (عليه السلام) apni pahli haalat (taswir wa naqsh) aekhteyaar kar liya


("makaasib" al mas'alatur raabe'aa tasviro sowar zawaatul arwaah ... / "oyuno akhbaarir reza " jild 2 p 167 par tafsili maajra likha hai)


ye karaamat to murdon ko zinda karne se zeyaadah sakht wa dushwaar hai, jab taswir ko sher bana sakte hain to badarja'ae aula murdon ko zinda bhi kar sakte hain


Haasile kalaam :


qur'aan wa hadis se ye baat saabit hai ke Janaabe Eisa ... ne murdon ko zinda kiya, aqlan bhi is me koei qabaahat nahi hai, is liae ke qaadire mutlaq khoda hi ne ye aekhteyaar diya hai


bela tashbih batla dun jaiyse aek wazire aazam apne naa'aeb ke zimme koei kaam saunpta (سونپتا) hai ousi tarah ye bhi hai


aur ye bhi saabit hai ke tamaam ambiya me Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ka maqaamo martaba baala tar hai
aur ba'nasse qur'aan (aayate mobaahala) ye bhi saabit hai ke Ali (عليه السلام) "Nafse Rasul" hain


lehaaza jis tarah Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) tamaam ambiya se afzal wa bartar hain ousi tarah hazrat Ali (عليه السلام) Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ke aelaawah tamaam ambiya se afzal wa bartar hain


pas jab Janaabe "Yasa" Janaabe "Hizqil" aur Janaabe "Eisa" ... murdon ko zinda kar sakte hain to badarja'ae oaula Rasulullaah, Hazrat Ali aur aap ke barhaq jaanashin (صلوات الله عليهم) bhi murdon ko zinda kar sakte hain


farz kar len Maasumin (صلوات الله عليهم) ne murdon ko zinda nahi kiya to is ka matlab hargiz hargiz hargiz ye nahi hai ke aap hazaraat murdon ko zinda nahi kar sakte hain


masalan Janaabe Musa ki tarah Janaabe Eisa ne asa ko saanp me tabdil nahi kya to is ka matlab ye nahi hai ke aap ye kaam nahi kar sakte the


aur murdon ko zinda karne ka bhi matlab hargiz hargiz hargiz ye nahi hai ke ma'aazallaah aap hazaraat khoda hain ya apne kaamon me mustaqil hain


balke khoda ki sefat " كُن فَيَكُون " "ho ja pas wo ho jaati hai" ke mazhar hain


(is ke mota'alliq Maamun ke darbaar me "Jaaseliq = جَاثِلِيق " masihi se Imaam Reza (عليه السلام) ka monaazara padh len)


Note :


niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله



والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


7 / شوال / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen