Menhdi lagaane ke baad keya wozu aur ghusl sahih hai ? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, May 15, 2020

Menhdi lagaane ke baad keya wozu aur ghusl sahih hai ?

Sawaal az : mohtarama janaab Samaana Razavi Sb / Mozaffarpur


Salam


Mera sawaal hai ki kiya cone ki jo mehdi aate hai us par wazu nahi hota aur namaaz bhi padhna jayez nahi hai


Agha sistani se ruzu kar ke tafsel se bataye
mujh se bohot log ne kaha hai ki nahi sahi hai lagana
isliye mujhe tafsel se bhejyega ki mai woh parcha batwa saku


Cone me jo mahdi bane banaye aate hai log kah raha ki uski parat utarte hai isliye us par wazu nahi hoga
Tafsel se bhejyega
colour wali mahdi ka to pata hai ki nahi hota us par wazu
par cone wali par bhi bahut log kah rahe ki nahi hota hai wazu kyu ki uski bhi parat utrte hai
mai jawab ki muntazir hu


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


agar menhdi aiysi ho jis ke lagaane ke baad parat (پَرَت) jam jaa'ae jis se paani khaal tak na pahunch sake to aiysi menhdi lagaane ke baad wozu aur ghusl sahih nahi hoga
lehaaza namaaz bhi sahih nahi hogi


agar laga li hai to wozu aur ghusl ke liae ous ko chhodaana (چھڑانا) zaruri hai taake khaal tak paani pahunch jaa'ae


albatta menhdi chhodaane ke baad agar sirf rang laga rah jaa'ae is se wozu aur ghusl me khalal nahi aata


Misaal :


  1. sabzi waghairah kaatne ke baad haathon par sirf ous ka rang laga rah jaata hai, paint ki tarah parat nahi banti

  2. baalon aur bhanw ko rangne ke baad dhoya jaa'ae to sirf rang laga rah jaa'ae to wozu aur ghusl sahih hoga keyon ke sirf rang jism par paani pahonchne se maane nahi hota

bilkul yahi kaiyfiyat dhone ke baad lagaa'ei jaane waali menhdi ki bhi hoti hai


maalum hona chaahiae ke bela shub'ha baaz chemical waali menhdi aam menhdiyon se kuchh alag hoti hai jis ko dhone ke masalan 4, 5 din baad parat wa papdi ya jhilli (جھلی) waghairah outarne lagti hai
aiysi menhdi ki tashkhis (تشخیص) aap khud karen


behtar hai niche di gaei surkhi par click kar ke dusre jawaabaat ko bhi molaaheza farma len


  1. keya menhdi (rang) lagaana sirate maasumeen hai ? | maula keyaun nahi lagaate the | aurat shauhar ke liae ladki rishte aane ke liae khezaab lagaa'ae | kaun sa rang behtar hai ?

  2. make-up ke saath auraton ke liae wozu aur namaaz ka hukm

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


19 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen