Mard | aurat ki namaaz me farq || aurat | mard ka qarib | baraabar me namaaz padhna - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, May 17, 2020

Mard | aurat ki namaaz me farq || aurat | mard ka qarib | baraabar me namaaz padhna

Sawaal az : +9172750....


Assalam o Ailequm
Mera Ek Sawal tha


Aurton ke liye namaaz me kya hukm hai kya wahi Sab hukm hain jo mardon ke liye hain ya kuchh fark hai jaise zohar aur Asr me dhimi awaaz se padhna aur fajar, magrib, Isha ko tez awaaz se padhna ruku me ghutne ko zar sa kham karna (jhukana) aur mardon se kya alag hai aur kya ek hai.


Mera dosara sawal hai ki


Kya mardon ke pichhe aurton ko namaaz padhna chahiye unke aage wo namaaz nahi padh saktin aur is me maan bhi Shamil hai is baare me sharei kya hukm hai


Jawaab


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


  1. baaz ahkaam me farq hai. aurat wa mard ke ahkaam wa masaa'ael me ye farq nehaayat monaasib aur maanawi hai, donon ki khosusiyaat aur jismaani saakht me farq aur aazaa'ae niswaani wa eiffat ka paaso lehaaz rakhte huae ye farq hai

  2. tamaam farq ko yahaan bayaan nahi kiya jaa sakta lehaaza kuchh ki neshaan dehi ki jaa rahi hai


    Lebaas wa parde se mota'alliq farq


    1. namaaz me auraton par tamaam badan ka parda waajib hai, sirf chehre aur kalaaei ki jod (gat'te) se le kar ungli ke sere tak aur dono pair takhnon se niche tak khula rakh sakti hai dhakna zaruri nahi hai (in 3 aazaa ka parda waajib nahi hai)

    2. lekin mard ke liae ye hukm nahi hai, mard ke liae sirf makhsus maqaam ko dhakna waajib hai


      albatta auraton ke liae takhnon se niche paaon ka parda mustahab hai (lekin agar naa mahram dekh raha hai to is ka bhi parda waajib hai)


    3. sone se bina huaa (بافتہ) lebaas pahenna mardon ke liae haraam hai, agar is ke saath namaaz padhi to baatil hai

    4. lekin auraton ke liae haalate namaaz ya ghair namaaz me jaa'aez hai


    5. sona pahenna jaiyse gale waghairah me sone ki zanjir latkaana, sone ki anguthi (انگوٹھی) pahenna aur sone se bani ghadi wa kade pahenna mardon ke liae haraam hai aur is ke saath namaaz padhna baatil hai

    6. lekin ye saari chizen auraton ke liae namaaz wa ghair namaaz me jaa'aez hain (balke auraton ke liae zinat hain, albatta israaf wa lebaase shohrat ka hukm alag hai)


    7. khaalis reshmi kapda pahenna mardon par haraam hai aur is ke saath namaaz bhi baatil hai

    8. lekin auraton ke liae namaaz wa ghair namaaz me jaa'aez hai


    Qeyaam se mota'alliq :


    haalate qeyaam me mardon ke liae mustahab hai ke donon paiyron ke darmeyaan ka faasela tin khuli wa phaili (chipki na ho) oung'liyon (انگلیوں) ke baraabar rakhe lekin ye faasela aek baalisht se zeyaadah na ho


    lekin auraten paiyron ko chipka wa mila len


    Qera'at se mota'alliq :


    mard par waajib hai ke namaaze subh, maghrib aur aesha me hamd wa surah baland wa ounchi aawaaz se padhen


    auraten bhi in namaazon me baland padh sakti hain lekin waajib nahi hai, aekhteyaar hai aahista padhen ya baland


    lekin agar aawaaz naa mahram sune to baland padhna haraam hai, agar jaan bujh kar baland padhe to benaabar aehteyaate waajib namaaz baatil hai


    Roku se mota'alliq :


    1. roku me mustahab hai ke mard ghutnon ko pichhe ki jaanib rakhen

    2. lekin auraton ke liae mustahab hai ke pichhe ki jaanib na rakhen (aage rakhen)


    3. roku me mustahab hai mard, haath ghutnon par rakhen

    4. lekin auraton ke liae mustahab hai ke ghutnon ke oupar rakhen


    Sajde se mota'alliq :


    1. mustahab hai roku ke baad jab sajde me jaa'aen to mard pahle apne haathon ko aur aurat pahle apne ghutnon ko zamin par rakhen

    2. sajde me mustahab hai mard kohniyaan (کہنیاں) wa pet zamin (wa raanon) se na chipkaa'aen balke oupar hon aur apne baazuon (باہوں) ko jism ke daa'aen wa baa'aen hisse se na chipkaa'aen balke pahlu se juda wa khol kar rakhen

    3. lekin auraton ke liae mustahab hai baazu band rakhen aur kohniyaan wa pet zamin (aur raanon) par rakhen aur badan ke aaza ko aek dusre se chipkaa'ae wa samet kar rakhen, khol kar na rakhen


  3. mardon ke saath khade ho kar namaaz padhne ki aejaazat nahi hai lehaaza agar aurat wa mard aek hi jagah namaaz padhna chaahate hain to aehteyaate laazim ye hai ke aurat mard se pichhe khadi ho

  4. pichhe khade hona kam az kam is meqdaar ho ke jab mard haalate sajdah me ho to ous ke donon ghutnon ke baraabar (saamne) aurat ke sajde ki jagah ho is surat me donon ki namaaz sahih hai


    Sawaal :


    Agar aurat bilkul mard ke baraabar wa saath ya ous ke aage khadi ho to namaaz ka keya hukm hai ?


    Jawaab :


    agar donon ne aek hi saath namaaz shuru ki yaani aek hi saath takbiratul aehraam kahi to benaabar aehteyaate waajib dono ki namaaz baatil hai, dobaara padhen


    aur isi tarah hai agar aek jaldi dusre se namaaz ke liae khada ho jaa'ae


    Wazaahat :


    agar mard wa aurat aek dusre ke saath wa baraabar khade hon ya aurat aage khadi ho to dono ke darmeyaan wa bich me diwaar, pardah ya koei aur chiz is tarah ho ke aek dusre ko dekh na paa'aen to is surat me donon ki namaaz sahih hai, dobaara padhna zaruri nahi hai


    Mard ke baraabar ya aage khade hone ki surat me kam az kam faasela ketna ho to dono ki namaaz sahih hai :


    Rahbare inqelaab :


    aehteyaate waajib ke taur par kam az kam faasela aek baalisht ho


    Aayatullaah sistaani :


    10 zeraa se zeyaadah faasela ho , 10 zeraa taqriban 4.5 meter (saadhe 4 meter) hai


    jo shar'ei hukm bataaya gaya ous me mahram wa naa mahram ke darmeyaan koei farq nahi hai lehaaza agar maa, bahen, phuphi, khaala aur biwi wa beti ... ho tab bhi ous ki re'aayat zaruri hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


16 / رمضان الكريم / 1440ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen