Sawaal az : Mohtaram Janaab Syed Minhal Zaidi / Shahjahanpur UP. India
Salamun Alaikum.
Khairiyat se hai aap?
Janab mai ye janna chahta hu ke lailatul qadr se murad kya hai? jaisa ke qur'aan ke suraye qadr me 2th aayet me hai ke... "Tarjuma : aur tum kya jano ke shabe qadr kya hai ?" is bare me thodi wazahat farmaye shukriya.
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله
ye wo shab hai jis me qur'aan aek martaba daf'atan Qalbe Rasul (صلى الله عليه وآله) par naazil huaa, qadr ki raat ramzaanul mobaarak ke mahine me hai
Maasumin (صلوات الله عليهم) se manqul baaz rewaayaton ke motaabiq tin shabon me se koei aek shab hai, shabe 19, shabe 21, shabe 23. qawi aehtemaal ki bena par shabe qadr shabe 23 hai
(baaz log shab'haa'ae qadr kahte hain ; ye ghalat hai is liae ke shabe qadr sirf aek hi raat hai, kaei raaten nahi hain magar ye ke shab'haa'ae qadr se alag alag rat maqsud ho)
khoda ne khud sawaal kiya ke "aap keya jaanen ya tumhen keya khabar ke shabe qadr keya hai" ?
is aayat me ba'taure kenaaya wa aeshaara is raat ki azmat, manzelat, jalaalat aur shaano shaukat ka izhaar hai, is mobaarak raat ki madho sataaeish hai
sawaaliya andaaz me is ki azmat ki taraf aeshaara kar ke khud hi jawaab bhi diya aur bataaya ke "shabe qadr hazaar mahinon se behtar hai"
Keyon behtar hai ?
aebaadat, sawaab, amal aur barkat ... ke aetebaar se . insaan ko hazaar mahinon ki aebaadat ... ka sawaab is aek shab me mil jaata hai ... doa qabul hoti hai ... is liae ye aek raat hazaar mahine se behtar wa afzal hai
shia wa sunni ki baaz ketaabon me Banu Omaiyya ki mamlekat ki taraf aeshaara hai, is liae ke Banu Omaiyya ki saltanat thik aek hazaar mahine tak rahi
agar is ko maan len to moraad wa matlab huaa ye aek raat Banu Omiyya ki hazaar maah tak hokumat se behtar hai
Qadr kahne ki wajahe tasmiya :
is raat ko qadr kahne ke mokhtalif asbaab bataa'ae ga'ae hain, sirf do sabab ki taraf aeshaara kiya jaa raha hai :
- is raat me taqdir saazi aur amre aelaahi ki taqsim hoti hai, zindagi, marg, rizq, sa'aadat, shaqaawat ... aur saal bhar ke hawaadis moshakh'khas wa moqaddar hote hain
- is raat me zi qadr ketaab zi qadr Rasul par zi qadr oummat ke liae naazil huei
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-daarul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
شب 23 / رمضان الكريم / 1440 ھ.ق
No comments:
Comment