Keya ghar ke kaam aur bach'chon ko padhaane ki wajah se roza chhod sakte hain ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, May 1, 2020

Keya ghar ke kaam aur bach'chon ko padhaane ki wajah se roza chhod sakte hain ?

Sawaal az : mohtarama janaab Zahrah Batool sb. (Lahore)


Mojooda halaat me jab bachay school nahi jaate.. to keya maa Bach'chon ko padhaane ke liye ya gharelu kamo ke liye kuch rozay chhor sakti hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم


jin kaamo ka zikr kiya hai wo shar'ei ouzr nahi hain lehaaza aap par roza waajib hai


ghar ke kaam ya bach'chon ko padhaane ke sabab roza na rakhne ka jawaaz paiyda nahi hota


Note :


waqt aur zindagi ki tanzim wa tartib auraton ka aek hunar, saliqah aur mahaarat hai is hunar wa saliqe se waqt ki tanzim kar ke mazkura mushkil ko hal kar sakti hain


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


2 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen