Sawaal az : +919967...
Salam o alaikum agha.
Ek sawaal hai
Sawaal hai kya 21 ramazan aur 10 muharram ke din rozi kamana kaisa hai maslan ek shaqsh jaan boojh kar aaj ke din rozi kamane nikla hai aur ek shaqsh wo jo majburan kaam par gya hai usko chhutti nhi mili kisi wajha se to ab jo raqam kamaai hai us din ki uska kya hoga kya karna chahiye in dono logon us paise ka ?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
jaa'aez hai aur raqam bhi halaal hai
albatta roze aashura kaam karna wa kasbe ma'aash makruh hai is din ke kaam me barkat nahi hoti
behtar hai Maasumin (سلام الله عليهم) se mota'alliq aiy'yaame aza me jahaan tak ho sake kaam na karen balke azaadaari karen
lekin agar kaam karne wa kasbe rozi se azaadaari ya azaadaaron ya Maasum (عليه السلام) ki tauhin ho to jaa'aez nahi hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ka padhna mofid hai انشاءالله
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadime edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
23 / رمضان الكريم / 1440ھ.ق
No comments:
Comment