Sawaal az : .....
Assalamualaikum
Mujhe ye jaanna hai ke agar roza rakha hua ho ... aur haiz ki haalat ho jay achaanak phir roza tod dena chahiye ya nahi
Aise me kya karen
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
azaane subh ke baad maahwaari (haiz) shuru ho jaane se roza baatil ho jaata hai, rakhna sahih nahi hai
isi tarah agar ghorube aaftaab se chand lamha qabl hi maahwaari (haiz) aana shuru ho jaa'ae to roza baatil hai sahih nahi hai
mokhtasar ye ke azaane subh ke baad aur ghorube aaftaab se pahle din ke kisi bhi hisse me haiz shuru ho jaa'ae to roza baatil hai
lehaaza koei aurat maahe mobaarake ramazaan me azaane subh ke baad masalan toluae aaftaab ke waqt haiz se paak ho to ous din ka bhi roza nahi rakh sakti hai
isi tarah koei aurat paak thi aur roza rakha lekin maahe ramazaan me waqte asr masalan ghorube aaftaab se 10 minute pahle haiz shuru ho jaa'ae to ous roz ka roza baatil hai
Note :
- maahwaari ki wajah se roza baatil hone ke baad aurat ke liae khaana pina jaa'aez hai albatta maahe mobaarake ramazaan aur roze daar ke aehteraam me khule'aam khaane pine se parhez kare
- behtar hai niche recommend kiae ga'ae jawaab ko bhi padh len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
15 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment