haalate roza me sar aur badan ke zaa'aed baalon ko saaf karne wa rang karna aur daadhi mundne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, May 20, 2020

haalate roza me sar aur badan ke zaa'aed baalon ko saaf karne wa rang karna aur daadhi mundne ka hukm

Sawaal az : +917652.....


As salaam o alikum
Hazrat ummid hai app khair se honge ..


Hazrat mai ye janna chahta hu ke haalat-e-roza me hair cutting aur shaving set karwaana jaiz hai ya nahi


Mai ayaytullah syed Ali al Sistani sahab ki taqleed me hu


Clean shaving nahi karwaani hai


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
الحمد لله


sar ke baalon ko kaatne ya mundwaane (منڈوانے) ya ous ki islaah se roza baatil nahi hota hai lehaaza jaa'aez hai


isi tarah baalon ko rang lagaane se roza baatil nahi hota is me bhi haraj nahi hai


jism ke ghair zaruri wa za'aed baalon ko saaf karna bhi roze ko baatil nahi karta balke behtar hai, is liae ke islaam me safaaei ki bahot taakid ki gaei hai


benabar aehteyaate waajib daadhi (داڑھی) mundna haraam hai lekin mundne se roza baatil nahi hoga


Note :


roza sirf oun chizon se baatil ho jaata hai jis ka zikr tauzihul masaa'ael me hai


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna-shoba-e-sawaalaat qum / iran


25 / رمضان الکریم / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

3 comments:

  1. सलाम अलैकुम
    नमाज़ पढ़ने के दौरान इधर उधर के ख्याल आने से नमाज़ बतील हो जाती है क्या, और इससे बचने का उपाय बताये।

    ReplyDelete
    Replies
    1. Alaikum salaam

      Aap se guzaarish hai ke sawaal contact form ya site ke "menu" me jaa ke sawaal karen option ke zariae sawaal karen

      Delete
  2. 𝐀𝐠𝐡𝐚,𝐒𝐚𝐥𝐚𝐚𝐦 𝐀𝐥𝐚𝐢𝐤𝐮𝐦
    𝐇𝐚𝐚𝐥𝐚𝐭 𝐫𝐨𝐳𝐚 𝐦𝐞 𝐧𝐚𝐤𝐡𝐨𝐨𝐧 𝐤𝐚𝐚𝐭 𝐬𝐚𝐤𝐚𝐭𝐞 𝐡𝐚𝐢𝐧?
    𝐅𝐚𝐪𝐚𝐭
    𝐁𝐚𝐳𝐦𝐢
    𝐋𝐮𝐜𝐤𝐧𝐨𝐰

    ReplyDelete

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen