Sawaal az : .....
Mera swal he kya haiz ki halat me roza rakh sakte hain... aur roze ki kaza namaz ghusl-e-haiz ke baad ada ho jay to kya roza ho jayega... ya nahi
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
haiz ki haalat me roza rakhna (khaah din ke kisi hisse me bhi khun aa jaa'ae) aur namaaz padhna waajib nahi hai balke sahih nahi hai
namaazon aur rozon ke hukm me farq ye hai ke maahe ramazaan ke baad rozon ki qaza karni hogi namaaz ki nahi
yaani haalate haiz me chhute huae rozon ki qaza waajib hai lekin namaaz ki qaza nahi hai
Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko bhi molaaheza farmaa len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
13 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق
Koi Dua bataye jisse bache acha Akhlak or nek bane..
ReplyDeleteAapse guzarish hai ki apna sawaal uper sawaal karne ke option se karen, ya WhatsApp pe kar len
DeleteWhatsApp number +919570927078
Delete