Sawaal az : mohtarama janaab Farha Razavi Sb / Raebareli
Salamun Alaikum
meri bachi abhi chhoti hai aur ham roze nahi rakh rahe hain to roze ka kya kaffara hoga ?
Jawab ke muntazir hain
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
dudh pilaane waali aurat ka dudh kam hai agar roze rakhne se ouse ya bach'chi / bach'che ko noqsaan wa zarar ho to aiysi aurat par roza waajib nahi hai
lekin baad me chhute huae rozon ki qaza karna waajib hai aur har din ka kaffaarah (aek mud ta'aam) shar'ei faqir ko de
is ka zikr monaasib hai ke benaabar aehteyaate waajib ye hukm (mazkura baala) is khaas jagah se makhsus hai ke bach'chi / bach'che ki khoraak sirf dudh pilaane waali aurat ka dudh hi ho, yaani ousi me munhasir ho, koei dusra raasta nahi
lekin agar bach'chi / bach'che ki khoraak wa gheza ke liae dusre raaste hon masalan chand auraten dudh pila sakti hain to pilaa'aen yaani dudh pilaane me sharik hon
ya gaa'ae (گائے) waghairah ka dudh ya sukha wa dibbe ka dudh ... pilaana momkin ho to benaabar aehteyaate waajib aiysi aurat ke liae roza na rakhna jaa'aez nahi hai (yaani rakhe)
Note :
- kaffaarah :
- aehteyaate waajib ka matlab fatwa nahi hai lehaaza sirf is mas'ale me dudh pilaane waali aurat sharaa'aet ke motaabiq kisi aiyse marja ki taqlid kar sakti hai jis ke nazdik is surat me bhi roza waajib nahi hai
750 gr aata ya roti ya chaawal ya gandum ya khurma ya macaroni ya aalu ya ghosht ya is ke maanind chizen hain
(ba'motaabiq nazare mobaarake Aayatullah Sistaani)
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
17 / رمضان المبارک / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment