Bohlul daana kaun the ? |Hazrat Bohlul, Abu lolo aur Mokhtaar ko badnaam karne ka sabab - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, May 8, 2020

Bohlul daana kaun the ? |Hazrat Bohlul, Abu lolo aur Mokhtaar ko badnaam karne ka sabab

Sawaal az : Mohtaram Janaab Abbas Sb / Delhi


Behlol dana kon Tha with reference ?


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


Aap ka naam "Abu Wohaiyb ya Wahab Bin Amr Saiyrafi Kufi (ابو وُهَيب يا وهب بن صَيرَفى كوفى) hai, Kufe me paiyda huae isi liae Kufi kahte hain


Bohlul (بُهلُول) Daana aur Diwaana se mash'hur wa maaruf hain


Bohlul ka matlab :


bahot hasne waala, khanda'ru, hans mukh (ہنس مکھ) aur jaame'oul fazaa'ael hai


baaz logon ke naql ke motaabiq aap Abbaasi khalifa "Haarun Rashid" ke cha'cha zaad bhaa'ei the


2 Imaamon yaani Imaame Saadiq aur aap ke farzand Imaame Kaazim (سلام الله عليهم) ke khaas shaagird wa sahaabi the


shaa'aer, aarife kaamil, zaahid, hakim, saahebe aql, aalim, faazil, faqih, mohib wa shia'ae ahlebait (صلوات الله عليهم), modaafe'ae welaayat, monaazera karne waale, shirin zabaan, khush bayaan, haazir jawaab, baat sunte hi fauran maaqul jawaab dene waale aur mohaddis (ilme hadis ke jaan'ne wa naql karne waale) the

is liae ke Imaame Saadiq (عليه السلام) se rewaayat naql ki hai


Diwaana wa majnun kahne ki wajah :


Bohlul ko Daana kahne ki wajah to maalum hai, aap ki baaten maaqul, hikmat aamez, ibrat angez hoti thin isi liae daana wa aaqil aur "oqala'oul majaanin (عقلاء المجانين)" diwaanon ke daanish mand = diwaana numa aaqil kaha jaata hai


Diwaana kahne ki 2 wajah bataa'ei gaei hai :


  1. Haarun Rashid aap ko Boghdaad ka "Qaazi'oul qozaat " (قاضى القضات = chief justice) banaana chaahata tha, aap zaalim khalifa ke darbaari qaazi banna nahi chaahate the

  2. Amawi khalifa "Yazide palid" ne jis tarah qaazi Shoraih (شریح) se Imaame Husain (عليه السلام) ke qatl ka fatwa dilwaaya (aek naql ke motaabiq) ousi tarah Abbaasi khalifa Haarun Rashid Janaabe Bohlul se Imaame Musa Kaazim (عليه السلام) ke qatl ka fatwa dilwaana chaahata tha

  3. Imaame Kaazim (عليه السلام) Haarun ke qaid khaane me the, kisi tarah Bohlul ne Imaam (عليه السلام) se puchha aaqa keya karun ?


    To aap ne farmaaya :


    khud ko diwaanon ki tarah bana lo yaani khud ko majnun zaahir karo taa'ke khatre se bach'te raho


    lehaaza Bohlul ki diwaangi aek tarah ka taqiya (تقیہ) tha is liae ke is ke aelaawah koei chaara nahi tha agar aiysa na karte to aap ki gardan ouda di jaati


dono waj'hon ka natija taqriban aek hi hai aap ko qaazi bana kar man pasand fatwe dilwaana chaahata tha aur apni man pasand shari'at ka nefaaz bhi


taarikh apne aap ko dohraati hai, is waqt bhi Banu Omaiyya wa Banu Abbaas ki naajaa'aez aulaad wa fikri nasl ke darbaari wahaabi kath'mulla wa mufti khuni fatwe saadir kar rahe hain


Al'mokhtasar ye ke aap ki baaten be'aqli ki nahi hoti thin, tanz, lataa'aef, ilmo fazl, ijtemaaei wa seyaasi paiyghaam aur aeshaa'ate deen aur pando nasihat me Janaabe Bohlul daana ke kaarnaame qaabile qadr hain


tabligh aur waazo nasihat karne me aap ki rawish wa tariqa neraala tha hatta Haarun Rashid jaiyse zaalim khalifa ko is tarah zalil wa nasihat karte the ke wo aap ka kuchh bigaad nahi paaya


aap ke bahot saare ibrat'naak haalaat wa waaqe'aat naql hue hain, mazid haalaat bayaan karne me tul hoga lehaaza sirf aek waaqe'aa ke zikr par iktefa karta hun


Abu Hanifa [mazhabe hanafi ke imaam aur Imaame Saadiq (عليه السلام) ke shaagird] apne dars me kahte the ke Imaame Saadiq (عليه السلام) ki tin baaten ham ko pasand nahi hain, oun me se kisi aek ko bhi mai nahi maanta hun aur qabul nahi karta hun


wo tin baaten ye hain :


  1. Shaiytaan aatishe jahannam me jale ga

  2. ye sahi nahi hai is liae ke shaiytaan aag se paiyda huaa hai aur jo chiz aag se bani hai ous ko aag nahi jala sakti hai yaani koei chiz apni ham jins shaiy ko noqsaan nahi pahunchaati


  3. Khoda dekhaaei nahi deta hai

  4. jab ke har maujud chiz hamaari nazar ke liae qaabile did hai


  5. Bande apne aekhteyaar se kaam karte hain yaani saahebe aekhteyaar hain

  6. ye baat bhi saraasar aayaat wa rewaayaat ke mokhaalif hai
    ham apne kaamon me majbur hain mokh'taar nahi hain


jab Bohlul ne Abu Hanifa ki ye baaten sunin to mitti ka dhela outhaaya aur Abu Hanifa ki peshaani par maar diya


Abu Hanifa ne Haarun Rashid ya Mansur Abbaasi se Bohlul ki shekaayat ki, khalifa ne hukm diya ke Bohlul ko darbaar me haazir kiya jaa'ae
Bohlul aa'ae jab aap se puchha gaya ke keyaun maara ?


to aap ne Abu Hanifa se farmaaya :


tum kahte ho ke shaiytaan aag se bana hai ye kaiyse ho sakta hai ke aag, aag ko jalaa'ae
tum mitti se paiyda huae ho phir mitti ke dhele se tumhen chot nahi lagni chaahiye


dusre ye ke maine koei gunaah nahi kiya hai (yaani maine nahi maara hai) is liae ke tumhaare aqide ke motaabiq banda jo karta hai ous ko karne waala khoda hai
lehaaza tumhen khoda ne maara hai maine nahi


tisre ye ke tum ne kaha jo chiz maujud hai wo dekhaaei deti hai


lehaaza agar peshaani me dard hai to mujhe dekhaa'aen kahaan hai ?


Abu Hanifa laa jawaab wa sharminda ho ga'ae aur samajh ga'ae ke Bohlul ki zarb mere baatil wa be asaas aqida ke jawaab me hai


Abu Hanifa ke ghalat aqide ka ye be'misl jawaab tha, aek hamla me tinon ka jawaab mil gaya


Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se marwi hai :


"momin apni talwaar wa zabaan se jehaad karta hai"


Janaabe Bohlul taa hayaat zaban ... se jehaad karte rahe


lekin afsos aalame islaam ki is azim shakhsiyat ne "Motawakkil Abbaasi" ke daur me inteqaal farmaaya aur Boghdaad me dafn huae, aap ka maqbara wahin hai


Janaabe Abu lolo aur Janaabe Mokhtaar ne talwaar waghairah ke zariae welaayat wa imaamat ka defa kiya aur Hazrate Bohlul Daana ne zabaan ... ke zariae


isi liae in tinon azim hastiyon ko badnaam karne ki bahot koshish ki gaei


dush'man se isi ki ta'waqqo hai lekin bahot afsos ous waqt hota hai jab baaz shia sunniyon ki ketaabon se mota'assir ho kar in buzurgon ke ta'alluq se ach'chhi raa'ae nahi rakhte


Hawaala jaat :


  1. Majaalesul momenin jild 2 p 14 - 20 taalif shahid-e-raahe haq qaazi nurulla shushtari

  2. Rejaal-e-shaikh tusi p 60

  3. az'zariaa aela tasaanifish shia jild 8 p 62

  4. Aayaanush shia jild 3 p 617

  5. Al'faa'aeq fi rowaat-e-as'haab-e-al imaam-e-saadia (عليه السلام) jild 1 p 257

  6. " Bohlul aaqil "aaqa mirza ali sadr

  7. Taarikhe boghdaad jild 21 p 65 khatib boghdaadi

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


11 / شعبان / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen