Sawaal az : mohtaram janaab Syed Razi Hasan Sb / Congo
Salaam
Mera ek sawaal hai jo bhi mulk ke bahar job karte hain ounhen Quran Majeed dastayab nahi hai mobile apps ki madad se dua wagairah padh lete hain magar aise log aamaale shabe qadr kaise karenge ?
Khuda apko salamat rakhe aur aapka saya hamare saro par baqi rakhe aamin
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
agar kisi ke paas qur'aan nahi hai to shabe qadr me sar par aur saamne rakh kar qur'aani amal ko anjaam nahi de sakta hai is liae ke ye amal qur'aan se makhsus hai
aur mustahab hai,waajib nahi
shabe qadr ke bahot saare dusre aamaal bhi hain, sar par aur saamne qur'aan rakhna ... oun me se aek amal hai lehaaza shabe qadr ke baaqi aamaal ko baja laa'ae aur dusri doa'aen aur surah mobile waghairah se padhe
Note :
mobile ya tablet ya laptop waghairah me qur'aani software (App) ko qur'aan nahi kahen ge. ous par qur'aan ka itlaaq nahi hoga aur na hi ous par qur'aan karim waale ahkaam jaari hon ge
lehaaza agar ous ki screen par qur'aani aayaat ... zaahir hon aur ous ko sar par wa saamne rakhen to kaafi nahi hai is liae ke ous par qur'aan ka hukm jaari nahi hoga
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
20 / رمضان المبارک / 1441ھ.ق
No comments:
Comment