Sawaal az : ..............
Namaze shab ka behetreen waqt konsa hai
Khuda ki reza ke leye aisa keya karen jo khuda ke aur Imaam-e-zamana (a.j.t.f) ke pasand'dida insaan ban jaayen
Regards,
Faizan Abbas | faiza.....5@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم(1) azaan-e-subh se jetna nazdik wa qarib ho wahi afzal wa behtarin waqt hai
(2) jo insaan khoda ke nazdik pasand'didaah wa naa'pasand hai wahi imaam-e-zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke nazdik pasand'didaah wa naa'pasand hai
aur is ke bar'khelaaf bhi yaani jo imaam-e-asr ( عجل الله فرجه الشريف ) ke nazdik pasand'didaah wa naa'pasand hai wahi khoda ki nazar me pasand'didaah wa naa'pasand hai, dono ki pasand'didgi aur marzi me farq nahi haipasand'didaah banne ka jawaab aek jumle me hai :
"khoda wande aalam ke awaamir par amal karna"
yaani khoda ne jo waajib kiya hai ous par amal kare aur jo haraam qaraar diya hai ous ko tark kare
gharibon, miskinon aur zarurat mandon ki madad aur khidmat-e-khalq karne waala bhi khoda wa imaam zamaana ( عجل الله فرجه الشريف ) ke nazdik pasand'didaah insaan hai
makhsusan is waqt madad karna is liae ke coronavirus ki wajah se log bahot mushkelaat me hain
basharte ke khitmat-e-khalq aur madad karne me reyakaari aur dekhaawa na ho aur oun par aehsaan na jataae
aur madad karte waqt tasaawir aur video banwaakar social media par apni waah waah ke liae ous ki dhum na machaae
gharibon ki madad karte hue oun ki izzat-e-nafs se na khele oun ki khud'daari ko thes na pahunchaae
mazid tafsil ke liae niche diya gaya jawaab padhna behtar hai انشاءالله
- namaaze watr me doa karne ki ahamiyat | 40 momin ke liae doa karne ka tariqa | masaa'ael
- namaaze watr ke qonut me keya padhna chaahiae ? | tariqa | baith kar padhna
- Kaise pata karen ki hamaari taubaa qabul hui ya nahi? Kaise pata karen ki khoda raazi hai ya nahi? Kaise maalum karen ki hamaare amaal qabul ho rahe ya nahi?
والسلام
syed shamshad ali katokhar
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
11 / شعبان / 1441 ھ.ق
۔🌹روز ولادت با سعادت شبیہ پیغمبر جناب علی اکبر ( سلام الله عليهم )🌹۔
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment