Keya Aayatullah wahid khoraasaani saheb ne coronavirus se bachne ke liye shab-e-pandrah ( 15 ) shabaan imam-e-zamaana (a.j.t.f) se tawassul karne ko kaha hai.... Iski tasdeeq kar den
jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
ياصاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
Ji sahih hai
Aap ne is tarah sefaarish farmaaei hai :
maahe shaaban ki shabe 15 me khoda ki rahmaton ke darwaaze khule hain , oummid'waar hun ke waliae asr ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ke tawassul ( wasile ) se parwar'deghaar ki rahmt-e-waaseaah hamaare shaamile haal ho
our ye bala dur ho
aek saath ( ijtemaaei ) doa karne ki taakid ki gaei hai our ( ijtemaaei doa karna ) istejaabat-e-doa ke nazdik hai
( lehaaza ) sefaarish ki jaati hai ke انشاءالله sabhi khaanwaade ke saath gharon me maahe shaabaan ki shabe 15 me doaa'ae " aelaahi azomal bala ... " padhen our is ke baad aek martaba surah hamd padh kar saahebuz zamaan ( عليه السلام ) ki maadare geraami hazrat narjis khaatun ( عليها السلام ) ko hadiya karen
Note :
(1) is sefaarish me11 baje shab ba'motaabiq waqte iran hai
lekin jo jis mulk me rahta hai wo apne mulk ke waqt ke motaabiq maahe shaaban ki pandrahwin shab me 11 baje padhe
baaz mulkon ke auqaat aek dusre se mokhtalif hain
hatta iran me raat hai to baaz mulkon me din hai
is liae jo jahaan hai wahin ke waqt wa taarikh ke motaabiq pandrahwin shaaban ki raat me 11 baje padhe
(2) doa'ae " azomal bala ... / اللهی عظم البلاء " ka zikr mafaatihul jenaan ke shuru me doa'ae " tawassul " ke baad hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
10 / شعبان 1441 ھ.ق
🌹 (شب ولادت با سعادت جناب علی اکبر (عليه السلام 🌹
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
10 / شعبان 1441 ھ.ق
🌹 (شب ولادت با سعادت جناب علی اکبر (عليه السلام 🌹
Subscribe my channel
No comments:
Comment