13 shaabaan ko roz-e-arafah kahne ki haqiqat ? | ruhon ka waapas aana - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, April 7, 2020

13 shaabaan ko roz-e-arafah kahne ki haqiqat ? | ruhon ka waapas aana

Sawaal az : mohtaram janaab Syed Azhar sb. / Sadat patti (Bihar)


Salaamun Alaikum Maulana, sb


Aap se ek sawaal hai ke keya Arfa ke din roti banayi ja sakati hai ? bahut se log bolte hai ki arfa ke din roti nahi banayi jaati hai, sirf jinke ghar me arfa hota hai bas wohi log ke ghar me roti banti hai.


Jawaab :


باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


rewaayaat waghairah me jis "Arafah (عرفہ)" ki taraf aeshaara kiya gaya hai wo 9 zilhijjah hai is ko yaume arafah kahte hain


ye din baa'fazilat tarin aiy'yaam me se aek hai. Maasumin (صلوات الله عليهم) ne is din ke kuchh makhsus aamaal, doa aur monaajaat... ki sefaarish ki hai oun me se mash'hur tarin "doaa'ae arafah Imaam Husain (عليه السلام)" hai
ye arafah har ghar me manaanaa chaahiae


is din har ghar me roti pakaa sakte hain shar'an koei haraj nahi hai


agar arafah se moraad 13 maahe shaabaan hai is liae ke baaz aelaaqe me is ko arafah kahte hain


kaha jaata hai is din murdon ki ruhen gharon me waapas aati hain ya ruhon ko aekhatti (اکھٹی) karte hain...
to is arafah ki shar'ei aetebaar se koei haqiqat nahi hai rewaayaat waghairah me is din ko "roze arafah" nahi kaha gaya hai


jis ghar me ye man'gharat (من گھڑت) arafah manaaya jaata hai aur sirf ousi ke ghar me roti pakaaei jaa'ae, ye sab khoraafaat wa bakwaas hai lehaaza har ghar me roti pakaa'ei jaa sakti hai


Niche recommend ki gaei video dekhna wa jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


  1. keya dastar’khaan | nazr-e-imam hasan | 13 wa 15 shabaan ki nazr ach’chi sunnat hai ? | buri sunnate


  2. keya 13 shaabaan ko kaam | ghusl aur safaaei nahi karna chaahiae ? | khelaal aur nazaafat karna eimaan se hai

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


13 / شعبان / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube


Recommend


  • keya arwaah apne gharon me aati hain ? | ghar waalon ko dekhti hain ? | kis din aati hain ?
  • No comments:

    Comment

    .
    WhatsAppWhatsApp par sawaal karen