Qaza namaazen padhne me
Tashahud padhna laazmi.hai ya mustaheb hai
jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
waajib hai
Note :
namaaz ada ho ya qaza ous me 11 chizen waajib hain oun me 5 rukn hain
(1) niyat
(2) qeyaam ki haalat ( khade rahne ki haalat ) me takbiratul aehraam ( yaani takbiratul aehraam kahte waqt qeyaam )
(3) qeyaam mut'tasil ba roku yaani roku ke pahle mokhtasar khade rahna ( qeyaam )
(4) roku
(5) aek rak'at ke donon sajde
agar jaan bujh kar ya ghalti se in ko anjaam na de to namaaz baatil hai
baaqi 6 chizen bhi waajib hain lekin rukn nahi hain , ogar oun ko ghalti se anjaam na de , ya kam ho jaae to namaaz baatil nahi hai
( agar ghalti se oun ko anjaam nahi diya ya kam ho gaya to keya karna chaahiye ? our tamaam tafsilaat tauzihul masaael me padh len )
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
8 / رجب / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel
Subscribe my channel