Tawaafe nesa ki mud'dat ketni hai ? | keya tawaaf maqaame ibraahim ki hodud me karna zaruri hai ? | pahli ya dusri manzil se tawaaf ka mas'ala | tawaaf wheelchair waghairah par karne ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, March 11, 2020

Tawaafe nesa ki mud'dat ketni hai ? | keya tawaaf maqaame ibraahim ki hodud me karna zaruri hai ? | pahli ya dusri manzil se tawaaf ka mas'ala | tawaaf wheelchair waghairah par karne ka hukm

Sawaal az : +966551.....


Salamun alaikum Wrb


  1. Agar koi shakhs umrah karne gaya aur usne tawaf wa safa marwa ke ehkam baja laya aur taqseer bhi ki lekin kisi wajah se tawafun nisa nahi kiya hai aur apni manzil yani ghar wapas aa gaya hai to kitni muddat ke andar use tawafun nisa karna hoga

  2. aur kya tawafun nisa bhi maqame Ibrahim (as) ki had me karna zaruri hai ya had se bahar ya pehli aur dusri manzil par kar sakta hai
    aur wheelchair ya Jo abhi (bike system) hai uspar kar sakta hai ?

Jawab ka muntazir hu
Shukriya 💐🙏
moqallid aayatullah sistaani


Jawaab :


باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


  1. is ki muddat mo'aiyan nahi hai, jab tak anjaam nahi de ga biwi haraam rahe gi

  2. kaaba aur maqaame ibraaheem (عليه السلام) ke darmeyaan karna zaruri nahi hai maqaame ibraaheem (عليه السلام) ke pichhe bhi tawaaf karna jaa'aez hai

  3. agar pahli wa dusri manzil kaaba se ounchi na ho to tawaaf karna sahih hai


    takhte rawaan (تخت رواں / takht), wheelchair aur kandhe par tawaaf karaaya jaa'ae to sahih hai


Note :


baaqi tafsil ke liae "Menu" me "Haj & oumrah" ka shoba dekh len


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


10 / رجب / 1441 ھ.ق

🌹🌹🌹🌹🌹

روز ولادت باسعادت امام جواد علیہ السلام

🌹🌹🌹🌹🌹

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen