Sawaal
Agar kisi zoja-o-shohar me talaaq ho jae aur dono êk dusre se alag rahte hon yahaan tak ke unke bach'che jawaan ho jaen aur jawaan hone ke baad wo bach'che apni waalda ko apne ghar le aaen jo ghar shohar ki malkiyat ho aur dono zoja-o-shohar me koi bol chaal ya mel jol na ho to keya wo zoja apne bach'chon ke saath us ghar me rah sakti hai jab ke shohar bhi us hi makan ke doosre hisse me rah raha ho. Yaani zoja upar ki manzil par apne beton ke sath rah rahi ho aur shohar apni dusri zoja ke sath niche ki manzil me rahte hon mujhe is sawaal ka jawaab tafseel me chahiye agha seestani sahab ke fatwe ke motaabiq
jawaab :
باسمه تعالى
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
يا صاحب الزمان ادركنا
سلام عليكم
shauhar par biwi ka naan-o-nafqah waajib hai ba'sharte ke biwi apne shauhar ki jaa'aez jinsi khaahish wa raghbat puri kare
naan-o-nafqah ke masaadiq me se aek rehaaeish hai
lekin talaaq wa judaaei ke baad aek dusre ke liae khaawand wa biwi nahi rahe , donon aek dusre ke liae naa mahram wa haraam ho ga'ae
lehaaza talaaq yaaftah ourat naan o nafqah wa rehaaeish ki haq'daar nahi hai , naan o nafqah talaaq ke baad khatm ho jaata hai
agar mard ( saabeqah shauhar ) apne makaan me rahne ki aejaazat de ya raazi hai to rah sakti hain
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
4 / شعبان / 1441ھ.ق
(شب ولادت با سعادت امام سجاد ( عليه السلام
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
4 / شعبان / 1441ھ.ق
(شب ولادت با سعادت امام سجاد ( عليه السلام
Subscribe my channel
No comments:
Comment