Sawaal az : mohtarama janaab Raheela batool sb (Pakistan)
As salamo alaikum wrwb..
Agha..!! Khaahar Mehbooba Hasan Budgam Kashmir se sawaal karti hain.
Sawaal
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا اتَّقُوا اللَّهَ وَكُونُوا مَعَ الصَّادِقِينَ
(sure tauba aayat no.119)
Is aayat me "saadeqin" ka mafhoom wasi hai, magar rewaayat ke tanaazur me Ahle sunnat hazraat aur Shi'ayaane Ali a.s ke mofasseron ne Is aayat me "Sadeqeen" ko kinse makhsus Kiya hai ?
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ye aayat bhi hamesha shia wa sunni mohad'desin aur mofas'serin ke darmeyaan mauzu'ae bahs rahi hai aur rahti hai is liae ke ye aayat bhi Ahlebaite Rasul (صلوات الله عليهم) ki bartari wa fazilat par dalaalat karti hai aur eismate saadeqin par bhi dalil hai
is aayat se ye bhi saabit hai ke har daur me aek maasum, peshwa wa imaam ka hona zaruri wa laazemi hai is liae ke is aayat me zamaana waghairah ki qaid wa shart ke beghair sach'cho ke saath rahne ka hukm diya hai, zaahir hai har zamaane me aek saadiq hoga tabhi to insaan ous ke saath rahe ga aur ous ki aetaa'at kare ga warna saadeqin ke saath rahne yaani oun ki aetaa'at ka hukm be maani ho jaata hai
is baat ka aeteraaf ahle sunnat ke mofassire aazam Fakhre Raazi sb jaise mota'assib aur Ahlebait (سلام الله عليهم) ki fazilat ... me shakko shubhah eijaad karne waale ne bhi is aayat ki tafsir me kiya hai
lekin maasum ki talaash me raah gum kar diya hai is ta'alluq se nehaayat bach'kaana soch hai (aakhir me arz karun ga انشاءالله)
Chunke aap ka sawaal "Saadeqin" se moraad ke baare me hai lehaaza is ke peshe nazar jawaab molaaheza farmaa'aen :
is me koei shak nahi hai ke "Saadeqin" ka mafhum nehaayat wasi hai, aap ne bhi aeshaara farmaaya hai
har aek apne aetebaar se saadeqin ka misdaaq banaata wa bataata hai lekin shia wa sunni ki motabar rewaayaat aur tafsir se istefaadah hota hai ke is aayat me "saadeqin" se moraad Ali ibne Abi Taalib aur aap ke jaanashin (صلوات الله عليهم) hain
Shia ketaabon aur ahaadis me saadeqin se moraad :
- "Saadeqin" se moraad Ali aur aale Mohammad (صلوات الله عليهم) hain
- Imaam Reza (عليه السلام) se rewaayat hai ke moraad a'eimmah (عليهم السلام) hain
- Moraad aale Mohammad aur dusri rewaayat ke motaabiq A'eimmah (عليهم السلام) hain
- Imaam Baaqir (عليه السلام) se is aayat ke baare me sawaal huaa to aap ne farmaaya :
- Janaabe Jaabir ne Imaam Baaqir (عليه السلام) se naql kiya hai "Saadeqin" se moraad aale Mohammad (صلوات الله عليهم) hain
(tafsir-e-majma'aul bayaan jild 5 p 104 tafsir-e-surah tauba 119)
Aur aek tulaani rewaayat ke motaabiq :
... jab ye aayat naazil huei to Janaabe Salmaan ne puchha ay Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ye aam hai ya khaas ?
To aap ne farmaaya :
jin ko hukm diya gaya hai (saadeqin ke saath rahne ka) wo aam momenin hain lekin "Saadeqin" (jin ki aetaa'at ka hukm diya gaya hai) khaas hain wo mere bhaa'ei Ali aur oun ke wasi wa jaanashin hain qeyaamat tak ke liae
(tafsir-e-saafi surah tauba ki tafsir 119)
(tafsirul qummi jild 1 p 307 / taalif ali bin ibraahim)
(khoda ne is aayat me) hamaara aeraada wa qasd kiya hai (yaani maqsud ham Ahlebait hain)
aur isi aayat ke ta'alluq se Imaam Reza (عليه السلام) se puchha gaya to farmaaya :
moraad A'eimmah hain ...
(osul-e-kaafi jild 1 p 208 ketaabul hujjah baab maa farazallaah ... wa rasulohu ... ma'al a'eimmah h 1 - 2)
[manaaqib-e-aale abi taalib jild 4 p 179 baab fi imaamat-e-abi jaafaril baaqir (عليه السلام)]
Sunni ketaabon aur ahaadis me "saadeqin" se moraad :
- Ali aur as'haabe Ali moraad hain
- Ali aur aap ke Ahlebait moraad hain
- Ali aur aap ke as'haab wa Ahlebait moraad hain
- shawaahe dut tanzil le qawaa'aedit tafzil fil aayaatin naazelah fi ahlil bait (صلوات الله و سلامه عليهم)
- is aayat ke mota'alliq Janaabe Salmaan ne Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) se puchha ye aam hai ya khaas ?
(al kashf wal bayaan al maaruf ba tafsir-e-saalabi jild 5 p 109 tafsir-e-surah tauba taalif ahmad bin mohammad saalabi naiyshaaburi)
[tazkeratul khawaas menal oummah fi zikr-e-khasaa'aesil a'eimmah p 25 baab as saani fi zikr-e-fazaa'aelehi , yaani amirul momenin ali (عليه السلام) taalif sibt-e-ibne jauzi)
(ad'durrul mansur jild 4 p 287 taalif jalaalud'din sayuti)
is ketaab ke mo'allif ahle sunnat ke mash'huro maaruf aalim "Haakim Haskaani" hain is me Amirul Momenin aur Ahlebaite Rasule khoda (صلوات الله عليهم) ke fazaa'ael wa manaaqib bayaan kiae hain taqriban 210 aayaton ka zikr kiya hai jo Ahlebaite Rasul (سلام الله عليهم) ki shaan me hain
jaisa ke khud is ketaab ke naam se maalum hota hai wa zaahir hai naam rakhne ka sabab ye hai ke Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) ko tamaam ambiya wa farishton par aur maasum imaamon makhsusan imaam Ali (عليهم السلام) ko tamaam insaanon par fazilat wa bartari haasil hai
is ketaab me 8 aisi hadison ko naql kiya hai jis me "Saadeqin" se moraad Ali aur aap ke as'haab aur aale Mohammad (صلوات الله عليهم) hain
( p 342 )
To aap ne farmaaya :
jin ko hukm diya gaya hai (saadeqin ke saath hone wa aetaa'at ka) wo aam momenin hain lekin saadeqin khaas hain wo mere bhaa'ei Ali aur oun ke baad mere wasi wa jaanashin hain taa qeyaamat
(yanaabioul mawaddah jild 1 p 114 baab as saamin was salaasoon taalif solaimaan bin ibraahim qunduzi)
al-ghadir jild 2 p 305 (qadimi edition) par Allaama Amini (رضوان الله عليه) ne ahle sunnat ki mokhtalif ketaabon ka hawaala dete huae likha hai :
is aayat me kaha gaya ke saadeqin ke saath raho yaani Ali ibne Abi Taalib ke saath raho aur oun ke ahlebait ke saath raho aur Ali "سيد الصادقين" (sach'chon ke sardaar) hain
Fakhre Raazi sb ne aeteraaf kiya hai ke is aayat ke motaabiq har zamaane me aek maasum ka hona zaruri hai
magar wo maasum khaas fard wa moaiy'yan shaks nahi hai balke "majmuae oummat" (ijmaa'ae oummat) hai ... is liae ke majmuae oummat haq wa durust hai yaani oummat ka ijma khata se maasum hai
( tafsir-e-kabir jild 16 p 221 tafsir-e-surah tauba 119 )
Fakhre Raazi sb ki is baat ka matlab ye huaa ke pairo khud apni pairawi kare is liae ke wo khud is majmuaah ka aek juz hai, dar haqiqat pairo aur peshwa aek hi hai, moti aur jis ki aetaa'at ka hukm diya gaya hai dono aek hi huae
jab ke aayat ka matlab hargiz ye nahi hai, aayat me pairo alag hain wo aam momenin hain aur jin ki pairawi ka hukm diya gaya hai wo alag wa juda hain wo khaas afraad hain
tawajjoh farmaa'aen aayat me is tarah nahi kaha gaya hai ke "كونوا من الصادقين" (saadeqin me se ho jaao) balke kaha gaya "كونوا مع الصادقين" (saadeqin ke saath raho)
lehaaza pairo wa peshwa alag alag hain
dusre ye ke keya khaati insaan ke ijma wa ittefaaq se oun ki ismat saabit hogi ? keya oummat ijma me khata se maasum huaa karti hai ?
tisre ye ke kabhi bhi oummat ka ijma wa eittefaaq aek baat par huaa hi nahi taake kaha jaa'ae oummat ka ijma khata se maasum hai
ahle sunnat ke 4 imaamon ke darmeyaan ketne aekhtelaafaat hain
lehaaza Fakhr Raazi sb ki ye baat haqiqat se koson dur hai aur eilmi aetebaar se nehaayat bach'kaana hai
ahle sunnat ki baaz tafaasir wa rewaayaat me masalan "Tafsire ma'aalemut tanzil al maaruf ba tafsire baghawi" me is aayat ki tafsir me likha hai :
saadeqin se moraad as'haabe Mohammad hain aur Abubakr wa Omar
ye baat bhi Fakhr Raazi sb jaisi hai, yaani bilkul be bunyaad
shuru me arz kiya ke aayat me jo hukm diya gaya hai wo har zamaane ke liae hai ... is waqt as'haabe Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) kahaan hain ? ke oun ke saath rahne ka hukm diya jaa raha hai
Abubakr wa Omar bhi is waqt nahi hain ke oun ke saath rahen
dusre ye ke saadiq wo hai jis se koei aiysa amal sarzad na huaa ho jo eimaan wa aqide ke khelaaf ho, yaani saadiq, maasum ho
lehaaza "Saadeqin" se moraad kholafa nahi ho sakte, is liae ke oun ki harkaten wa jaraa'aem ... aetne zeyaadah hain ke wo peshwa wa Khalifa'ae Rasul (صلی الله علیه و آله) banne ke laa'aeq hi nahi hain (is ta'alluq se niche recommend ki gaei video dekh len)
pas is aayat me saadeqin se moraad Mohammad aur aap ke 12 jaanashine barhaq (صلوات الله عليهم) hain yahi maasum bhi hain, aayate tathir wa be shumaar rewaayaton se aap hazaraat ki ismat saabit hai
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
28 / رجب / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment