sawaal az : +91 98927 9......
IMPORTANT DUA
👇👇👇👇👇👇
Shia quam ki hifazat ki dua by Imam Zain ul Abideen (A.S.)
ek Wakt Aisa Ayega Mere Baaba ke Azadaro pe !
Ke unka Ghar se Nikalna Dushwar Ho jaye Ga to Us Waqt Meri Ye Dua Padhna Khuda Tum Sab Azaadaro Ko Apni Hifzo Amaan Me Rakhey Gaa.
Bismillah hir rahma nir rahim
"Amantu Billahi Tawakkaltu ilallah !"
Plz Fwd 2 other Momineen
Salam..ye dua imam sjjad ki h kya?
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ji ye doa imaam sajjaad ( عليه السلام ) se marwi hai
rewaayat ka mafhum molaaheza farmaaen :
janaab abu hamza somaali farmaate hain : me ali ibn-e-husain ( imaam sajjaad عليهما السلام ) ke ghar ke darwaaze ke paas aaya jab aap darwaaze se baahar nikal rahe the to me aap ki khidmat me pahuncha ous waqt aap ye zikr padh rahe the :
بِسمِ اللهِ آمَنتُ بِاللهِ وَ تَوَكَّلتُ عَلَى اللهِ
" bismillaahe aamanto billaah wa tawakkalto alallaah "
" khoda ke naam se ( shuru karta hun ) khoda par eimaan laaya our me ne khoda par tawakkul wa bharosa kiya "
ye zikr padhne ke baad imaam sajjaad ( عليه السلام ) ne farmaaya :
" ay abu hamza beshak jab banda apne ghar se nikalta hai to ous ke paas shaitaan aata hai jab " bismillaah " kahe to 2 farishte ( jo bande ke saath hain ) kahte hain " tumhaare liae kaafi huaa ( dusre se be neyaaz ho gaya ) our jab " aamanto billaah " kahe to dono farishte kahte hain teri hedaayat ( rahnumaaei ) ho gaei , our jab " tawakkalto alallaah " kahe to dono farishte kahte hain tu mahfuz ho gaya ( allaah apne hifz o amaan me rakhe ga )
our shayaatin ous se duri aekhteyaar kar lete hain our aek dusre se kahte hain :
jo hedaayat paa gaya , khud ke liae kaafi kar liya ( dusron se be neyaaz ho gaya ) our allaah ke hifz o amaan me hai ous par ham kaise mosallat ho sakte hain ? ...
( osul-e-kaafi jild 2 p 541 ketaabud doa baab ad doa aeza kharajal insaan min manzelehi )
aap ne likha hai " aek waqt aiysa aae ga mere baaba ke azaadaaron par ... ous waqt meri ye doa padhna "
is ke mota'alliq arz kar dun ke ahaadis ki azim ketaabon yaani kotub-e-arba'aa me se 2 ketaabon " man laa yahzarohul faqih / osul-e-kaafi " our " hilyatul mut'taqin " me haqir ko is tarah ki baat nahi mili , in ketaabon me aezaafe ke saath maasumin ( صلوات الله عليهم ) se is tarah ki mokhtalif doaaen manqul hain oun me bhi is tarah ki baat nahi likhi hai
dar haqiqat ye doa aadaab-e-safar ke mota'alliq hai
yaani ghar se nikalte waqt is doa ko padhna chaahiae , jinno ins ke shar se mahfuz rahe ga انشاءالله
" mafaatihul jenaan " baaqiyaat-e-saalehaat baab 4 me ghar se nikalte waqt padhi jaane waali 8 doaa'on ka zikr hai ous me dusri doa yahi hai
likha hai 2 dusre momin ko bhejen , is ki koei haqiqat nahi hai yahaan adad ki qaid bakwaas hai
albatta aek dusre ko asl doa bhejna baa'aese sawaab hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
26 / رجب / 1441ھ.ق
🌷 شب عید مبعث رسول اکرم صلى الله عليه و آله 🌷
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edara-e-daarul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
26 / رجب / 1441ھ.ق
🌷 شب عید مبعث رسول اکرم صلى الله عليه و آله 🌷
Subscribe my channel
Salamun alaikum bhai mujhe ilallah aur alallah me farq janna hai aur kis mauqe par kya padhna chahiye ye bhi bataiye.
ReplyDeleteAlaikum salaam
DeleteAap se guzaarish hai ke sawaal site ke menu me jaa ke sawaal karen option se sawaal karen