sawaal az : +917783....
Salamun alaykum
Moulana sahab, hamara ek sawaal hai.. Ke agar koi hamaare paas maali madad ke liye aaye to kya hum unhe sadqe ke paison se unki madad unhe bina jankari diye (ke sadqe ki raqam hai...) Kar sakte hain.... Ya unhe bata kar dena zaruri hai... Ke ye raqam sadqe ki hai..?
Shukriya
Wassalam
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاتهsadqah waajib ho ya mustahab bataana zaruri nahi hai
Note :
(1) sadqe ke aadaab me se ye hai ke sadqah dene ke baad aehsaan na jataaen , aehsaan jataana yaqinan aek buri wa past khaslat hai
qur'aan me hai :
" apne sadqe ko baatil na karo aehsaan rakh kar our eiza dekar ... "
( baqarah 264 / foruae kaafi jild 4 p 22 ketaabuz zakaat )
" neki kar darya me daal " ke maqule par amal paira hona chaahiae
our sadqah dene waala apne chehre ko dhak kar de taake saa'ael ko zillat o khaari our sharmindagi ka aehsaas na ho
maasumin ( صلوات الله عليهم ) ki yahi sirat rahi hai
( foruae kaafi jild 4 p 24 ketaabuz zakaat )
(2) mazid tafsil ke liae niche diae gae jawaab padh len
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔15 رجب / 1441ھ.ق
روز شهادت ام المصائب جناب زینب سلام الله عليها
Subscribe us on youtube
No comments:
Comment