Qur'aan me baal nikalne ke viral message ki haqiqat | Covid-19 se bachne ki doa | dushman online rahte hain lekin musalmaan offline - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, March 9, 2020

Qur'aan me baal nikalne ke viral message ki haqiqat | Covid-19 se bachne ki doa | dushman online rahte hain lekin musalmaan offline

sawaal az : beraadaraan wa khaaharaan-e-geraami

( sab ke sawaalon ka khulaasa )

Salaam
Quran me baal nikalne wali baat me kya haqiqat hai...
Aaj kal ye message khoob chal raha hai...ki Kisi Marja ne khawaab me dekha hai ki Imam-e-zamana ajtf aaye hai aur kah rahe hai ki Caronavirus se bachane ke liye 1 paarey se 4 Paarey tak dekho to usme baal niklgega usko paani me daal ke sabko pilane se kisi ko coronavirus nahi hoga...
Aur kahaa Jaa raha hai ke ye baal ya to rasul-e-khoda s.a.w.w ka hai ya imaam-e-zamnaana ajtf ka hai
Isme Kitna haqiqat hai plz bataiye


jawaab :

باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

is ki koei haqiqat nahi hai , jhuta message hai

mazid tafsil niche "CLICK HERE" pe click Kar ke padh len is message ki haqiqat samajh me aa jaae gi



Note :

nehaayat afsos ki baat hai ke islaam khosusan shi'at ke dushman 24 ghante " online " rahte hain lekin aksar musalmaan 12 mahine " offline " rahte hain

is ka natija delhi me haaliya wahshiyaana tariqe se musalmaanon ki nasl kushi hai

dushman ke khatar naak wa makkaaraana harbon ko samajhte nahi hain ya samajhne ki koshish nahi karte , dushman ki dushmani se ghaafil ho jaate hain our ous ke baare me khush fahmi me mubtala ho jaate hain


aek shakhs madina-e-monaw'varah gaya our 3 roz qeyaam ke darmeyaan sirf masjid-e-nabi ( صلى الله عليه وآله ) ke sotun ginta raha ,
rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ) our aap ke farmudaat ... se koei matlab nahi tha
sirf sotun ginne me hi masruf tha , jo log is tarah ke message ke jaal me phanse rahte hain oun ka haal ousi shakhs ke maanind hai

coronavirus se bachne ke liae jo aehteyaati tadaabir doctor our aedaara-e-sehat wa tibbi tanzimon ki jaanib se bataaei gaei hain ous par amal karen


aur ahl-e-bait-e-ismat-o-tahaarat ( صلوات الله عليهم ) se tawassul karen, doa karen our ahle khaana ke saath zeyaarat-e-aashura wa hadis-e-kesa is tarah padhen ke pure ghar me aawaaz jaae ghar waalon ke saath hi farsh-e-azaa bichaaen our koei zabaani ya ketaab se imaam hussain (عليه السلام) khosusan janaab-e-zahra ( سلام الله عليها 
) ka masaa'aeb padhe our farsh-e-azaa par hi sabhi coronavirus se bachne ke liae doa karen our sahifa-e-saj'jaadiya wa mafaatihul jenaan me baaz doaa'aon ka zikr hai ous ko padhen

4 qul , aayatul kursi our salawaat hamesha padhte rahen , sadqa hamesha den our istighfaar bahot karen , baaqi allaah par chod den

dil me khauf-o-haraas ko raah na den is liae ke coronavirus se khauf-o-izteraab corona se kahin zeyaadah khatarnaak hai

Tafsil ke liae 👉CLICK HERE


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad  / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

14 / رجب / 1441ھ.ق
Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen