namaaze jaafare tay'yaar ka naam | fazilat | ahamiyat | faa'aede | waqt | tariqah - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, March 16, 2020

namaaze jaafare tay'yaar ka naam | fazilat | ahamiyat | faa'aede | waqt | tariqah

Sawaal az : ......


Mera naam sameem hai


Mera sawaal yeh hai ki Namaaze jaafar tai'y'yaar kaise padhte hai ?


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


ye namaaz hamaare darmeyaan namaaze jaafare taiy'yaar se mash'huro maaruf hai lekin is ka asl naam "Namaaze tasbih" aur "Namaaze habwah (حبوه)" hai


"Namaaze tasbih" naam rakhne ka sabab ye hai ke is me majmu'an 300 tasbihaat hain aur "Namaaze habwah" ki waj'he tasmiya ye hai ke jab janaabe Jaafare taiy'yaar Habasha se Madine tashrif laa'ae to Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ne aap se farmaaya : "اَلَا اُحِبُّوك" tumhen kuchh hadiya dun aur ata karun ? to Janaabe Jaafar ne farmaaya zarur yaa Rasulallaah, (Habwah yaani atiyah wa hadiyah isi liae is namaaz ko Namaaze habwah bhi kahte hain)


log samjhe, sona chaandi tohfa den ge lekin Imaam Saadiq (عليه السلام) se marwi rewaayat ke motaabiq aap ne yahi namaaz hadiyah ki wa taalim di aur farmaaya :


"is namaaz ko agar har raat padh sakte hain to har raat padhen aur har roz padh sakte hain to har roz padhen agar har raat wa har roz nahi padh sakte hain to har hafte padhen agar har hafte nahi padh sakte hain to har mahine padhen agar har mahine nahi padh sakte hain to har saal padhen khoda tamaam gunaahon ko bakhsh dega aur dunya wa jo kuchh is me hai aap ke liae khair hai"


talabe haajat, mushkelaat dur hone aur shaadi waghairah ke liae bhi ye namaaz bahot taasir guzaar hai


is namaaz ko "eiksire aazam (اکسیر اعظم)" aur "kibrite ahmar (کبریت احمر)" kaha gaya hai, asar ke aetebaar se ye namaaz kimiya hai, mokhtasar ye ke ye namaaz bahot ahamiyat ki haamil hai


Waqt :


is namaaz ko safar me kisi waqt bhi padh sakte hain aur agar mahalle qeyaam nahi padh sakte hain to raah chalte padh sakte hain roku wa sajdah aeshaare se karen is surat me qibla ru hona bhi zaruri nahi hai


aur aam haalaat me rozo shab ke kisi hisse me bhi padh sakte hain is ka waqt moqarrar nahi hai


lekin behtarin wa afzal waqt roze jum'aa suraj tolu hone ke taqriban 2 ghante baad hai


aur saal me shabe 15 shaabaan me bhi padhne ki bahot taakid ki gaei hai


Tariqah :


ye namaaz 4 rak'at hai, misle namaaze subh 2 rak'at 2 rak'at kar ke padhi jaa'ae gi (2 tashah'hud wa 2 salaam ke saath)


is namaaz ke mokhtalif wa mota'addid tariqe hain
lekin mash'huro maaruf aur sab me behtar tariqa ye hai :


namaaze jaafare taiy'yaar ki niyat karne ke baad takbiratul aehraam kahen phir surah hamd wa surah zilzaal (aeza zulzelatil arz ...) aek martaba padhen, is ke baad qeyaam hi ki haalat me (roku ke pahle) 15 martaba tasbihaate arba'aa padhen :


سُبحَانَ اللهِ وَالحَمد لِلّهِ وَلَا اِلَهَ اِلَّا الله وَاللهُ اَكبَر


phir roku me jaakar 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen phir khade ho jaa'aen aur qeyaam hi ki haalat me 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen, is ke baad sajde me jaa kar 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen aur sajde se outh kar baithne ki haalat me hi 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen phir dusre sajde me jaa kar 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen phir sajde se outh kar baithne ki haalat me hi 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen


phir dusri rak'at padhne ke liae khade ho jaa'aen


surah hamd aur surah "aadeyaat" ( عاديات) aek martaba padh kar 15 martaba tasbihaate arba'aa padhen phir qonut padh kar roku me jaa'aen aur 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen, roku se outh kar qeyaam hi ki haalat me 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen phir sajde me jaa kar misle rak'ate aw'wal 2 sajdon me aur har sajde se outhne ke baad 10 martaba tasbihaate arba'aa padhen, is ke baad tashah'hud wa salaam padh kar namaaz mokammal karen


niyat wa takbiratul aehraam ke baad tisri wa chauthi rak'at bhi pahli wa dusri rak'at hi ki tarah padhen


lekin farq bas aetna hai ke tisri rak'at me surah hamd ke baad aek martaba surah nasr (aeza jaa'a nasrullaah ...) aur chauthi rak'at me hamd ke baad aek martaba surah tauhid (qul howallaah ...) padhen


(har rak'at me 75 martaba tasbihaate arba'aa hai, majmu'an 300 martaba tasbihaate arba'aa hai)


chauthi rak'at ke aakheri sajde me tasbihaate arba'aa padhne ke baad darj zail doa padhen, ye doa namaaz ke liae shart nahi hai is ke beghair bhi namaaz sahih hai albatta namaaz ke kamaal ka sabab zarur hai


سُبحَانَ مَن لَبِسَ العِزَّ وَ الوَقَارَ ، سُبحَانَ مَن تَعَطَّفَ بِالمَجدِ وَ تَكَرَّمَ بِهِ ، سُبحَانَ مَن لَا يَنبَغِى التَّسبِيحُ اِلَّا لَهُ ، سُبحَانَ مَن اَحصَى كُلَّ شَئٍ عِلمُهُ ، سُبحَانَ ذِى المَنِّ وَ النِّعَمِ ، سُبحَانَ ذِى القُدرَةِ وَالكَرَمِ ، اَللَّهُمَّ اِنِّى اَسئَلُكَ بِمَعَاقِدِ العِزِّ مِن عَرشِكَ وَ مُنتَهَى الرَّحمَةِ مِن كِتَابِكَ وَ اسمِكَ الاَ عظَمِ وَ كَلِمَاتِكَ التَّامَّةِ اَلَّتِى تَمَّت صِدقاً وَ عَدلاََ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَ اَهلِ بَيتِهِ وَافعَل بِى كَذَا وَ كَذَا


phir haajat talab karen, coronavirus se bachne ke liae bhi ye namaaz padh kar zarur doa karen


Note :


  1. agar koei shakhs kisi khaas zarurat ki wajah se aek saath 4 rak'at nahi padh sakta hai to 2 rak'at padhne ke baad dusri 2 rak'at faasele se padh sakta hai

  2. eisi tarah tasbihaate arba'aa ke beghair padh sakta hai lekin baad me qaza padhe [yaani 300 martaba (agar kisi kaam me masruf hain to ous dauraan bhi ye zikr padh sakte hain)]


  3. is namaaz ke mota'alliq jo kuchh jawaab me likha gaya wo kotobe arba'aa ... ki tin mohim ketaabon me maujud hadison ka khulaasa hai

    1. foruae kaafi jild 3 p 465 ketaabus salaat baab salaatut tasbih

    2. tahzibul ahkaam jild 3 p 186 baab salaatut tasbih

    3. man laa yahzarohul faqih jild 1 p 347 baab salaatul habwa wat tasbih

  4. mafaatihul jenaan me bhi tariqa likha hai

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


21 / رجب / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen