keya Nabi aur Imaam ka saaya nahi tha | na hone ki wajah | Nabi ki teen khaslaten | Imaam ki alaamaten - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, March 2, 2020

keya Nabi aur Imaam ka saaya nahi tha | na hone ki wajah | Nabi ki teen khaslaten | Imaam ki alaamaten

Sawaal az : Mohtaram Janaab Zainul Abbas Hussaini Sb


Salam
Beraadar ek riwaayat chahiye...


Sahi riwaayat chahiye Ke rasool sww ka saaya nahi tha ...


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Rasule khoda ke khasaa'aes wa sefaate karima aur mojezaat me se aek ye hai ke aap ka saaya nahi padta tha, is ka sobut shia wa sunni ki kaei ahaadis me hai


Imaam Baaqir (عليه السلام) se rewaayat hai ke Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) me tin khaslaten thin ... :


  1. Jis raaste se bhi guzarte the 2 ya 3 roz baad bhi raah'gir aap ki khushbu sunghte the

  2. Kisi bhi hajar wa shajar (path'thar wa darakht) ke paas se guzar nahi hota tha magar ye ke wo aap ka sajda karen

  3. Aap ka saaya nahi tha

  4. " لَم يَكُن لَهُ فَيىء "


    (osule kaafi jild-1 p-442 ketaabul hujjah baab mauledun nabi ...)


    Raawi kahta hai :


    " لَم يَقَع ظِلُّهُ عَلَى الاَرضِ "


    "aap ka saaya zamin par nahi padta tha"


    [manaaqibo aale abi taalib al maaruf ba manaaqib bin shahr aashub jild-1 p-124 fasl fi mojezaatehi fi zaatehi (عليه السلام)]


    Baaz sunni ketaabon me saaya na hone ki wajah ka zikr :


    aap ka saaya is liae nahi tha ke agar kisi ka qadam aap ke saaya par aa jaata to aap ki tauhin hoti is liae Allaah ne aap ka saaya paida hi nahi kiya


    12 Imaam (عليهم السلام) ka bhi saaya nahi hota :


    chunke 12 Imaam Rasule khoda (صلوات الله عليهم) ke jaa'nashine barhaq hain is liae aap hazaraat ka bhi saaya nahi tha aur Imaame Asr (عجل الله تعالى فرجه الشريف) ka bhi nahi hai


    Imaam Reza (عليه السلام) se marwi aek tulaani rewaayat hai ous me taqriban 30 se zeyaadah Imaam (عليه السلام) ki alaamaten wa neshaaniyaan bataaei gaei hain, baaz alaamaten hasbe zail hain :


    logon ke darmeyaan zeyaadah jaanne waale, behtarin faisla karne waale, sab se zeyaadah baa taqwa, sab se zeyaadah burd baar, sab se zeyaadah shuja, sab se zeyaadah sakhi, sab se zeyaadah aabid hon ...
    aur tamaam kasaafaton wa aaludgiyon se paak hon aur jis tarah saamne dekhen ousi tarah ba'yak waqt pase pusht bhi dekhen ... sote waqt bhi qalb bedaar rahe ...


    Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ki zerah ba'taure kaamil aap ke naap (size) ka ho ...
    aap ke badan ki khushbu mushk se bhi zeyaadah khushbu daar hai
    logon ke liae oun ke maa baap se bhi zeyaadah shafiq wa mehrabaan hain


    aap ki doa is tarah mustajaab hoti hai ke agar doa karen ke chataan do tukde ho jaa'ae to do nim ho jaa'ae gi
    Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ka hathiyaar aur zulfaqaar aap ke paas hai
    aap ke paas aek aiysa sahifa (ketaab / maktub) hai jis me taa qeyaamat aap ke shi'on ke naam likhe hain
    aur aek dusra sahifa hai jis me qeyaamat tak aap ke dushmanon ke naam likhe hain
    mas'hafe faatema (سلام الله عليها) aap ke paas hai ...


    Isi rewaayat me hai :


    " لَا يَكُونُ لَهُ ظِل "


    "Imaam ka saaya nahi hota hai"


    (oyuno akhbaarir reza jild-1 p-212 baab-1 maa jaa'a anir reza fi alaamaatil imaam / al khesaal jild-2 p-527 baab-2 abwaabus salaasin wa maa fauqahu ...)

    Baaz olama farmaate hain :


    Rasule khoda (صلى الله عليه و آله) ka saaya Nabi hone ki wajah se nahi tha balke Imaam hone ki wajah se nahi tha 12 Imaam (سلام الله عليهم) bhi aap ke bar'haq wasi aur Imaam hain is liae aap hazaraat ka bhi saaya nahi hota


    dusre ye ke aap hazaraat nuraani makhluq hain aur nuraani makhluq ka bhi saaya nahin hota hai
    nuraani hone ke baa'wojud jismaani aur maaddi wa insaani paikar me aa'ae, is ki misaalen bahot milti hain, farishte nuraani makhluq hain lekin insaani surat me aa'ae aur aate hain


    qur'aan wa rewaayaat aur taarikh me bahot saare namunon ka zikr hai jaiyse Janaabe Jibraeil ka Dehya Bin Kalbi (دحیہ بن کلبی) ki surat me aana


    albatta aap ki nuraaniyat logon par pinhaan wa makhfi hai is ko aam insaan nahi samajh sakta hai, nuraani hone ka aek asar saaya na hone ki surat me zaahir huaa


Note :


Behtar hai niche di gaei headline par click kar ke jawaab molaaheza farma len


  1. Nabi ke mojezaat | keya aap ka sar ouncha nazar aata tha ? | mohre nabuwat se moraad

  2. keya Rasule Khoda ne murdon ko zindah kiya ?

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran

7 / رجب / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen