Assalamun alaikum.. Mera ek sawaal hujjatul maulana se hai.. Kya shohar
ke Marne ke baad gharelu saman pe zauja kya us saman ko apni beti ko de
sakti hai ya uspar sirf bete ka haq hi rehta hai
Regards,
Eza Fatma | ezafatm......@gmail.com
Jawaab :
باسمه تعالى
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
ياصاحب الزمان ادركنا
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
qur'aan , anguthi , talwaar , pahna huaa kapda ya pahenne ke liae rakha huaa ( istefaadah nahi kiya tha) sab se bade bete se makhsus hai
shia fiqh me is ko " habwah = حبوه " kahte hain
agar qur'aan , anguthi our talwaar aek se zeyaadah hon masalan 2 qur'aan 2 anguthi to aehteyaat-e-waajib ye hai ke sab se bada beta aek se zeyaadah me dusre tamaam worasa se mosaalahat kare yaani oun ki reza mandi haasil kare
eisi tarah aehteyaat-e-waajib ke taur par qur'aan ki rehal , banduq ( gun ) khanjar our is ke maanind chizon jaiyse dusre aslahe our shamshir ke ghelaaf ... me sab se bada beta dusre waaris se mosaalahat kare
baaqi saamaan sharaa'aet ke motaabiq tamaam waarison me taqsim hoga , masalan ladke ko ladki ke do braabar mile ga
mazid maalumaat di gaei video molaaheza farmaa len
headline
Miraas ke masaa'el
Miraas ke masaa'el
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
6 / شعبان / 1441 ھ.ق
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
6 / شعبان / 1441 ھ.ق
No comments:
Comment