aik question or karna hai ke plzzz ye bataiye ke jaisai Sarai imamo or masoom ki nazr dete hain kya waise hi Imam-e-waqt ki bhi nazr daina hoti hai jaisai 1 br alhmdololh or 3 br qulhowallaho.. Aise
jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
aek shar'ei nazr-o-mannat hai , ous me is tarah ki koei aiysi baat nahi hai
barre saghir me nazr-o-mannat ki chizon par aam taur par salawaat our aek martaba surah hamd our 3 martaba sura qul howallaah ... phir salawaat padhte hain
dar haqiqat ye tariqa ourfi hai hamaare darmeyaan raa'aej hai , shari'at me is tarah padhne ke liae nahi kaha gaya hai albatta ach'chi rasm hai wa baa'aes-e-sawaab bhi
nazr-o-mannat ki jo chizen khilaaei jaati hain ya kisi ko di jaati hain ... ous ka sawaab tamaam maasumin az jumla imaam-e-waqt ( سلام الله عليهم ) ko hadiya kar sakti hain
zaruri nahi hai ke ous par salawaat ya surah hamd ya surah qul howallaah padhen
eisi tarah sirf salawaat ya surah hamd ya aek martaba ya 3 martaba surah qul howallaah ... hatta kisi bhi surah ki aek aayat ka sawaab hadiya kar sakti hain
Note :
shar'ei nazr-o-mannat ke mota'alliq our mazid tafsilaat ke liae di gaei link padh len wa dekh len
(1) headline 👇
Kya ahad aur nazr ki niyyat rad ho sakti hai? Nazr aur ahad ki namaaz wajib ki niyyat se padhni hoti hai?...Click here
(2) headline 👇
imam-e-zamaana ki taraf se roza rakhne wa sadqa dene ka hukm
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 / رجب / 1441ھ.ق
Subscribe my channel
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
14 / رجب / 1441ھ.ق
Subscribe my channel
No comments:
Comment