Holi ka rang lagaa hone ki surat me wozu aur ghusl ka hukm - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Friday, March 13, 2020

Holi ka rang lagaa hone ki surat me wozu aur ghusl ka hukm

Sawaal az : Mohtaram Janaab Wasif Ali Sb


Actually ham jo holi khele hain toh kahin kahin pe colour chhoota nai hai..Toh usme ghusl or wazu ho jayga Kyu ki namaz kaise padhege phir


Jawaab :


باسمه تعالى
سلام عليكم


Agar sirf rang laga hai ous ke zarraat is tarah nahi lage hain ke khaal par paani pahunchne me rokaawat bane (jaiyse sabzi ya phal ... kaatne me haath par ous ka rang lag jaata hai ya qalam ki roshnaaei lag jaati hai, dhone ke baad ous ke zarraat dhul jaate hain wa khatm ho jaate hain lekin sirf rang baaqi rah jaata hai) to wozu wa ghusl sahih hai


Sirf rang paani pahunchne me rokaawat nahi hota


Lekin agar wozu wa ghusl ki jagah rang waghairah is tarah chipka wa laga hai ke khaal par paani pahunchne me rokaawat bane to ous ko bartaraf wa juda karna waajib hai


Lekin agar bartaraf karna momkin nahi hai ya is qadr dushwaar wa sakht hai ke tahammul wa bardaasht nahi kar sakte hain to sirf tayammum karen


Yahan is baat ka kheyaal rahe ke agar tayammum ki jagah rokaawat (rang) hai to is surat me wozu aur tayammum donon karen


Aur wozu karte waqt imkaan ki surat me benaabar aehteyaate waajib jahaan rokaawat (rang) hai ous par tar haath pheren, wozu'ae jabira (yaani zakhm hai ya patti bandhi hai ...) ka hukm jaari hoga


(Ba motaabiq nazar Aayatullaah Sistaani)


Mofid maalumaat ke liae niche di gaei headline par click karen


  1. Holi ka rang lag jaa'ae to keya hukm hai ?

  2. Vote daalte waqt oungli par lagaaei gaei roshnaa'ei ke hote huae wozu aur ghusl ka hukm

  3. Ghair muslimon ke tehwaaron | christmas par oun ko mobaarak baad dene ka hukm | ghair muslimon se samaaji ta'alloqaat

والسلام

syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


17 / رجب / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen