S/A
Mera sawal: ye hai k jo har roz 10pm azan de ga Rahi hai Kaya ye sahi hai log Ise galat kha rahe hai k be wakhat azan sahi nahi
jawaab :
باسمہ تعالی
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
یا صاحب الزمان ادرکنا
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته
rozaana ki namaazon ( namaaz-e-panj'gaana ) se qabl azaan wa aeqaamat kahna mustahab hai , chaahe ye namaaz awval-e-waqt padhen ya kisi waqt bhi
lehaaza agar 10 baje raat me namaaz padhne se pahle kahi jaae to koei haraj nahi hai , in namaazon se pahle jab bhi azaan o aeqaamat kahen mustahab hai
our is waqt coronavirus phail chuka hai , log khauf zadah , muztarib our parishaan ... hain
lehaaza agar auqaat-e-namaaz ke aelaawah bhi azaan is qasd o aeraadeh se kahen ke log azaan ke kalemaat sun kar khoda ki yaad me pad jaaen , ous ki taraf motewajjeh hon our ous ki yaad aae ... to is surat me bhi ( dusre pahluon wa suraton ko madde nazar rakhe be ghair ) shar'ei aetebaar se koei qabaahat nahi hai , jaaez hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
4 / شعبان / 1441 ھ.ق
روز ولادت باسعادت قمر بنی ہاشم حضرت عباس علیہ
Subscribe my channel
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran
4 / شعبان / 1441 ھ.ق
روز ولادت باسعادت قمر بنی ہاشم حضرت عباس علیہ
Subscribe my channel
No comments:
Comment