Chot par Vine lagaana jaa'aez hai ya haraam hai? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Wednesday, March 25, 2020

Chot par Vine lagaana jaa'aez hai ya haraam hai?

sawaal az : mohtarama Janaab faatema sb



Vine chot par sahi karne ke liye lagaate hain to kya wo sahi hai ya haraam hai?
Ussai jaldi sahi ho jata hai


jawaab :

باسمه تعالى

سلام عليكم


Vine ka matlab to angur ka darakht wa angur ki bel hai

agar is se aap ki moraad angur ki sharaab hai to is ta'alluq se arz kar dun ke haraam ash'ya our sharaab me shefa nahi hai


raawi kahta hai aek shakhs ne imaam saadiq ( عليه السلام ) se pucha aiysi dawa jo sharaab mila kar banaaei gaei hai  ous ka surma lagaa sakte hain ?

to aap ne farmaaya :


مَا جَعَلَ اللهُ عَزَّوَجَلَّ فِيمَا حَرَّمَ شِفَاءََ


" jin ash'ya ko khodaa-e-az'za wa jal ne haraam qaraar diya hai ous me shefa nahi rakhi hai "

( forua-e-kaafi jild 6 p 414 ketaabul ashrebah baab man ouzturra aelal khamr lid dawa ... )

bahar haal agar aap ko yaqin hai ke angur ki sharaab ke beghair is ke aelaaj ki koei our dawa nahi hai ( yaani dawa eisi me munhasir hai ) to lagaana jaa'aez hai

lekin namaaz padhne ke liae paak karna zaruri hai  is liae ke sharaab najis hai



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

30 / رجب / 1441 ھ.ق

Subscribe my channel

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen