Business me shar'ei profit ki meqdaar ketni hai - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, March 26, 2020

Business me shar'ei profit ki meqdaar ketni hai

sawaal az : mohtarama Janaab Raheela Batool  sb / karachi ( Pakistan )


Salam

Business me shar'ei profit ratio keya hai ...???

Masalan Ek cheez ki asal qeemat 100 rupees ho to usey kitne profit me sale kar sakte hain ???

Is ke liye shar'ei hukm keya hai..

Baqaaida Business ke elaawa bhi aam haalat me jo koi lain dain ya sale kiya jaata hai us ke ahkaam keya hain.


jawaab :


باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

moqaddas shari'at me monaafa ( منافع ) wa qimat ki koei had moqarrar nahi ki gaei hai, kharidaar wa farokht konindah baahami reza mandi se kisi bhi qimat wa nafa par moaamala kar len to sahih wa jaa'aez hai


ba'sharte ke baazaar me jo qimat chal rahi hai ous se is qadr zaa'aed nafa wa sud na le ke ourf-e-aam me kharidaar par zeyaadti aur zulm-o-setam kaha jaae ( yaani nafa zaalemaana na ho )


albatta zaalemaana na hone ki surat me behtar wa mustahab hai ke insaaf ki reaa'yat karen aur momin se ba'meqdaar-e-zarurat wa neyaaz nafa len


makhsusan agar ous ke saath aeqtesaadi mushkil hai to zeyaadah reaa'yat karen, rozi me انشاءالله barkat hogi


Note :


(1) surah nesa 29 me hai :


" ay eimaan waalo tum aapas me aek dusre ke maal baatil tariqe se na khaao magar ye ke baahami reza mandi se aapas me tejaarat ( len den ) ho to koei haraj nahi hai ... "


chunaan'che tejaarat na ho aur dono ki reza mandi na ho to ye baatil tariqe se khaana huaa aur ye haraam hai


aek mash'hur-o-maaruf fiqhi qaaedah hai :


har maalik bataur-e-kaamil apne maal par tasallut ( hokumat wa qabza ) rakhta hai,

is qaaedah ki bunyaad ye hadis hai :


اِنَّ النَّاسَ مُسَلَّطُونَ عَلَى اَموَالِهِم

" beshak log apne maal par mosallat hain "


jab maalik apne maal par tasallut rakhta hai to shar'ei hodud me rah kar har tarah ka tasarruf kar sakta hai aur ous maal ko apni marzi aur mansha ke motaabiq farokht kar sakta hai


(2) tauzihul masaa'ael me kharid-o-farokht ke ahkaam wa mustahabbaat wa makruhaat aur moharremaat molaaheza farma len


(3) behtar hai Niche diae gae jawaab ko padh len wa (video) dekh len


  1. naqd | oudhaar | qiston par kharid | farokht me aezaafi qimat ke masaa'ael

  2. Forex trading ke zariae kharid-o-farokht ka hukm (video 👇)



والسلام

syed shamshad ali katokhari

khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran


۔20 / رجب / 1441 ھ.ق


Subscribe us on youtube

No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen