22 Rajab aur shia wa sun'ni - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, March 17, 2020

22 Rajab aur shia wa sun'ni

اردو میں پڑھنے کے لۓ یہاں دبائیں


باسمه تعالى


22 Rajab aur shia wa sun'ni


Arsaa-e-daraaz se musalmaano ka ye maa'mul raha hai ke 22 rajab ko hazrat Imaam Saadiq (عليه السلام) ke liae hadiyaa-e-sawaab ki niyat se kheer puri ... pakaa kar ous par salawaat wa faateha ... Padh kar musalmaano ko khilaate hain aur Imaam Saadiq (عليه السلام) ke wasile se haajat talab karte hain


Is me koei shak nahi ke ye ach'chhi rasm hai aur baa'aese ajar-o-sawaab


Aksar olamaa'ae ahl-e-sunnat ka is par ittefaaq hai, olamaa wa muftiyaane ahl-e-sunnat ne kaha :


ye jaa'aez wa baa'aes-e-khairo barkat aur sawaab hai


Jo mohibbe Ahlebait (صلوات الله عليهم) hain wo shi'on ke shaana-ba-shaana is nazr ka aehtemaam karte hain


Is ke baawojud nazr-o-neyaaz ke dushmano ne hamesha is nazr ko bhi neshaana banaaya, kabhi kaha "kunda" arabi zabaan ka lafz nahi hai urdu ka lafz hai


Ye kah kar bataana chaahte hain ke agar ye rasm daure Rasul (صلى الله عليه و آله) me hoti to is ke liae arabi zabaan ka lafz hota lehaaza ye bid'at wa haraam hai


agar aisa hai ke jo cheez bhi daure Rasul (صلى الله عليه و آله) me na ho wo bid'at wa haraam hai to bid'ati wa takfiri geroh bhi daure Rasul (صلى الله عليه و آله) me nahi the oun ka wojud bhi bid'at wa naa-jaa'aez hai


kabhi beraadaraane ahl-e-sunnat ko ye kah kar bhad'kaaya jaata hai ke 22 rajab Moaawiya ki taarikh-e-wafaat hai, is rasm ko mahaz pardaa poshi ke liae hazrat Imaam Saadiq (عليه السلام) ki taraf mansub kiya gaya, dar haqiqat ye rasm Moaawiya ki wafaat ki khushi me manaa'ei jaati hai, dushmane Moaawiya ki eijaad kardaa hai oun ki wafaat par izhaar-e-mosarrat ke liae eijaad ki hai is liae khufiya manaa'ei jaati hai aur chori-chori raat ke aakheri hisse me hoti hai


awwal ye ke koei bhi is nazr ko poshida wa khufya nahi karta, danke ki chot par manaate hain aur roz-e-raushan aek dusre ke ghar jaa kar banaam-e- Imaam Saadiq (عليه السلام) kheer puri tanaawul farmaate hain


Ye bohtaan wa jhut bhi hemaalaya pahaad se bada hai


dusre ye ke Moaawiya ki taarikh-e-wafaat me aekhtelaaf paaya jata hai, mokhtalif aqwaal hain ; kisi ke nazdik 24 rajab hai aur kisi ke nazdik 26 rajab aur kisi ke nazdik 22 rajab


"taarikh-e-tabari me 22 rajab likha hai"


Farz kar len ke is rasm ki eijaad Sirf aur sirf marge Moaawiya par izhaar-e-mosarrat ke liae hai to isme bhi koei haraj nahi hai


is liae ke khud ahl-e-sunnat ki mo'tabar ketaabon aur rewaayat ke motaabiq sunniyon ke chauthe khalifa hazrat Ali (عليه السلام) ka jaani dushman Moaawiya tha, ous ko azaan me Rasul-e-Khoda (صلى الله عليه و آله) ka naam bardaasht nahi tha, buton ka bohot bada saudaagar tha, ous ki wajah se hazaaron musalmaano wa as'haabe Rasul (صلى الله عليه و آله) Ka naahaq khun baha, munkir-e-wahi wa shari'at faasiq wa faajir sharaabi, zaani, Yazeed paleed (لعنةالله عليه) jaise bete ko khalifa banaaya, ous ke kirdaar ka operation karen to maalum hoga ous ki mujremaana zehniyat Ke sho'lon ki tapish aaj bhi ummat-e-islaamiya apne badan me mahsus kar rahi hai...


Is mauzu aur ous ke jaraa'aem ke liae to ka'ei jildon par mushtamil mofassal ketaab ki zarurat hai


aise shakhs ki maut par izhaar-e-mosarrat wa khushi fitri amar hai


Wahi khushi nahi manaa'aega jisko Rasul-e-Khoda aur aap ke Ahlebait (صلوات الله عليهم) se bughz wa aenaad hai aur Moaawiya ke jaraa'aem se ittefaaq


Is ta'alluq se beraadaraan-e-ahl-e-sunnat ki khidmat me arz kar dun :


Shia hazaraat ki jo bhi niyat ho wo apni niyat ke zimmedaar hain, aap Sirf aur Sirf Imaam Saadiq (عليه السلام) ke liae hadiyaa-e-sawaab ki niyat se is rasm par amal karen. har aek apni niyat ka zimmedaar hai


jis din Shia khushi manaate hain us din ahl-e-sunnat ko kuchh nahi karna chaahiye to 18 zilhijja, yaum-e-wafaate Usmaan bhi na manaa'aen, chhod den. is liae ke is taarikh men puri duniya ke shia eid-e-ghadir manaate hain aur khushiyaan manaate hain


Eide ghadir tamaam musalmaano ki eid hai. Sirf shi'on ki nahi hai, iske baawojud aap kahen ke 18 zilhijja shia qatle Ousmaan ki benaa par khushi manaate hain lehaaza yaum-e-wafaate Ousmaan na manaaya jaa'ae


jo shiddat se nazr-e-Imaam Saadiq (عليه السلام) ki mokhaalefat karte hain aur fatwaa jaari karte hain wo Moaawiya ki mohabbat me nahi karte balke bughz-e-Imaam Saadiq (عليه السلام) wa nazr ki mokhaalefat me karte hain


roz-e-besat yaani 27 rajab roz-e-marge Moaawiya nahi hai, Phir is monaasebat se nazr-o-neyaaz ki mokhaalefat keyon karte hain ? Bid'at wa haraam keyon hai ?


is tamhid ki zahmat bas is jumla ke liae di hai "hameshaa asli ke moqaabil naqli ko pesh kiya gaya" taarikh apne aap ko doh'raati hai


nazr-e-Imaam Saadiq (عليه السلام) ke ta'alluq se bhi yahi ho raha hai, nazr-e-Imaam Saadiq (عليه السلام) ke bajaa'ae nazr-e-Moaawiya wa langar-e-Moaawiya kaha jaa raha hai aur iska aelaan bhi kiya jaa raha hai taake log shak me pad jaa'aen, asli nazr keya hai ? aur naqli nazr keya hai ?


aiyse naqli makruh surat aur kath mul'la se sunni bhai hoshiyaar rahen


Ahlebait-e-Rasul (صلوات الله عليهم) ke moqaabil naqli wa jaali logon ko pesh kiya gaya, asli wa haqiqi fazilat ke moqaabil naqli wa jaali wa man'gharat fazilat bayaan ki gaei


is tarah nazr-e-Imaam Saadiq (عليه السلام) ke moqaabil nazr-e-Moaawiya ko mota'aaraf karaaya jaa raha hai. Hussain (عليه السلام) day ke moqaabil Yazeed (لعنةالله عليه) day manaaya jaa raha hai. "ye kaiysi bul'ajabi hai" ?


agar musalmaan asl yaani Qur'aan wa Itrat-e-Rasul (صلوات الله عليهم) se tamassuk karte to aaj dunya ke ye haalaat na hote


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari

khadime Edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / patna moqim qumul moqaddasa iran


24 / rajab / 1439 H.Q

Subscribe us on youtube


this article transliterated by "Saiyed Md Tabish" from urdu to roman urdu



Recommended


No comments:

Comment

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen