Tejaarat (business) me lagaaei gaei raqam ka khums... - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Sunday, February 23, 2020

Tejaarat (business) me lagaaei gaei raqam ka khums...

Sawaal az : mohtaram janaab Asad Ali sb

Moqallid:- Ayatullah janaab sistaani sb

asslam alaikum...
mera ques.. khums ko le kar hai.
maine apna ek business start kiya, usme jitni raqam lagi uska khums adaa nahi kiya hai, ab usko nikaalna hai, but business me jo stock hai usko count karna mushkil hai, but jo business me profit hua uski rakam bank me hai, us profit waali raqam pe khums nikaal sakte hain kya, ya jo raqam business me lagaayi gayi hai uspe waajib hoga,, ya business me jo raqam lagi hai means 15 lack aur utne paise nahi hai
 mere paas ki 15 lack pe khums nikaal pau, Business me loss ki wajah se, iska kya hukm hoga..

jawaab :

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


(1) taqriban wa takhminan khums nikaalen , is ke baad khums waajib hone ya raqam ki meqdaar ke baare me shak hai to apne marja ke daftar ya oun ke motabar wakil se roju karen

wo aap se mosaalaha ( مصالحہ ) karen ge

( mosaalaha khums ke mota'alliq istelaah hai wo khud aap ko bataaen ge )

(2) ji faa'aede waali raqam ka khums de sakte hain

(3) jo raqam tejaarat me lagaaei hai agar aek saath ous ka khums nikaalne ki wajah se zindagi bahot sakht wa dushwaar ho jaae to aayatullaah sistaani ke daftar ne aap ko aejaazat di hai ke meqdaar our waqt ke aetebaar se apni salaahiyat ke motaabiq ba'tadrij ( بتدریج = aahista aahista ) nikaalen


Note :

di gaei video dekhna mofid hai

Headline 👇
Jo pahli baar Khums nikaale uske liye kya process hai?







والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran

28 / جمادى الثانى / 1441ھ.ق
Subscribe my channel
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen