Salaam Agha,
Nikah karne ke liye tarreeqo ki Kya ahamiyat hai aur tarreqo ka intekhaab karne ke silsile se Kya hidayat hai.
Bilkhusoos Kya Shabaan me Shaadi karne me koi sharayi manahi hai?
Agar mumkin ho to jawab de dijiye.
Ek Shaadi ka masla hai jo is baat par mabni hai.
Guzarish hai ke qamar dar aqrab ki ahamiyat par Bhi kuch raushni daal de.
Bahot Shukriya
jawaab :
باسمه تعالی
علیکم السلام و رحمةالله و بركاته
aiy'yaam-e-aza ke aelaawah qamari saal ki tamaam taarikhon men nikaah kiya jaa sakta hai
lekin baaz taarikhon me behtar wa monaasib hai our baaz taarikhon me makruh hai yaani oun taarikho me nikaah se gurez kiya jaae
qamari saal ke har mahine ki :
1 , 2 , 6 , 7 , 9 , 14 , 18 , 19 , 20 , 22 , 23 , 27 , 28 , our 29 taarikhon me rishta tay ( طے ) karna ya nikaah karna behtar hai
is liae ke in taarikhon me jo waaqe'aat hue hain oun ki bena par ye taarikhen saad wa nek ho gain
maasumin ( صلوات الله عليهم ) ki welaadat baa sa'aadat ya dusri mobaarak taarikhon jaiyse eid-e-ghadir , eid-e-mobaahala ... ke mauqe par aqd karna bahot behtar wa mobaarak hai
har mahine ki manhus wa nahs taarikhon me se kisi aek taarikh me aqd karna makruh hai wo taarikhen " kawaamil = كوامل " ke naam se mash'hur hain our wo saat hain :
qamari mahine ki 3 ( ghair az shaabaan ) , 5 , 13 ( rajab ke aelaawah ) , 16 , 21 , 24 ( ghair az zilhij ) our 25
isi tarah har mahine ke aakheri budh ( چہار شنبہ ) our qamar dar aqrab me aqd karna makruh hai lehaaza in taarikhon me aqd karne se gurez kiya jaae
maah-e-shaabaan bahot mobaarak our baa sharaf mahina hai , rasul-e-geraami ( صلى الله عليه وآله ) ki taraf mansub hai , aap ne farmaaya shaabaan mera mahina hai*
*our is maah me azim hastiyon jaiyse imaam husain , janaab-e-abbaas , imaam zaiynul aabedin , janaab-e-ali akbar ( aek rewaayat ke motaabiq صلوات الله عليهم ) our imaam zamaana ( عجل الله تعالى فرجه الشريف ) ki welaadat baa sa'aadat hai
our kuch dusri ach'chi monaasebaten bhi hain
lehaaza is mahine me shaadi karna mana nahi hai balke behtar our bahot ach'cha hai
Note :
(1) rewaayaat ke motaabiq agar manhus taarikhon ya qamar dar aqrab me shaadi karna zaruri hai to chand kaam karne ke baad aqd kar liya jaae nahs taarikhon ki nahusat khatm ho jaae gi
allaah par tawakkul karen , ous ki panaah maangen , ahle bait ( صلوات الله عليهم ) se tawassul karen , aayatul kursi padhen our sadqa den
imaam saadiq ( عليه السلام ) ne farmaaya :
مَن تَصَدَّقَ بِصَدَقَةِِ اِذَا اَصبَحَ دَفَعَ اللهُ عزوجل عَنهُ نَحسَ ذَالِكَ اليَوم
" jo bhi subh sadqa de to khodaae azza wa jal ous din ki nahusat ous se daf ( dur ) kar deta hai( man laa yahzaro hul faqih jild 2 p 176 ketaabul haj baab 69 )
(2) qamar dar aqrab ... ke baare me mazid tafsil ke liae niche di gaei video dekh len
Headline 👇
Qamar-dar-aqrab me shaadi
Headline👇
sina kholne our nahs taarikh ka hukm
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran