laylatur raghaa'aeb ki namaaz ka hukm | niyat ka tariqa | matlab | naam rakhne ka sabab - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Thursday, February 27, 2020

laylatur raghaa'aeb ki namaaz ka hukm | niyat ka tariqa | matlab | naam rakhne ka sabab

اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں


Sawaal az : mohtaram janaab Ammar Sb. 


Salamun alaikum wrwb


Ek Sawaal hai


Lailatur ragha'aeb ki mokhtasar wazaahat farmaa den
iski namaaz ki niyat kya hogi
shukriya


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


maahe rajab ki pahli shabe jum'aa ko "laiy'latur raghaa'aeb (ليلة الرغائب)" kahte hain


raghaa'aeb "raghiba" ki jama hai is ka matlab huaa :


raghbat, shauq, pasandida, marghub aur bahot zeyaadah ata wa bakhshish


lehaaza "laiy'latur raghaa'aeb" yaani raghbat wa shauq ki shab aur bahot zeyaadah ata wa bakhshish ki raat


"laiy'latur raghaa'aeb" naam rakhne ka sabab yahi hai ke is raat me insaan khoda wa bahisht ki khaahish wa raghbat rakhta hai aur ye raat bahot zeyaadah ata, bakhshish aur ajro paadaash ki raat hai


baaz log samajhte hain ke is ka matlab "aarzu'on (آرزوؤں) ki raat" aur aarzu bar aane ki shab hai, ye sahi nahi hai


albatta aarzu aiyb nahi hai, kisi chiz ki khaahish karne me buraa'ei nahi
ous aarzu ki mazammat ki gaei hai jo tulaani ho is liae ke ye aakherat wa khoda se dur kar deti hai is ki wajah se insaan aakherat wa khoda ko bhul jaata hai


(is ta'alluq se "nahjul balaagha" khutba 42 padh len)


"laiy'latur raghaa'aeb" ke aamaal wa namaaz ... ka zikr "Mafaatihul Jenaan" me hai


is raat me aamaal wa namaaz ke mota'alliq Rasule Akram (صلى الله عليه وآله) se marwi jo rewaayat hai wo motabar nahi hai
is liae ke ous ki sanad ka zikr nahi hai agar hai to qaabile aetebaar nahi hai


baaz olama wa mohaddesin ke ba'qaul ye rewaayat sunni ketaabon se shia ketaabon me naql huei hai


sab se pahle is hadis ka zikr Janaab Syed Bin Taawus / Taa'ous (رضوان الله تعالی علیه) ne apni ketaab "Aeqbaalul Aamaal" me kiya hai, is ke pahle shi'on ki motabar ketaab me is ka zikr nahi hai


lehaaza rajab ki pahli shabe jum'aa me ada ki jaane waali namaaz ka istehbaab (mustahab hona) saabit nahi hai, is ko raja ki niyat se padhen, yaani qabul hone wa sawaab ki oummid wa qasd se padhen

والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat qum / iran


3 / رجب / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen