Sawaal az : +9199978...
Assalamualaikum bhai
Mera Question ye hai ki me India se hu hamare hindu bhai milne se pahle ek dusre ko namaste ya namaskar (wo bolte hai ki iska matlab hai ki me apke samne apni gardan jhukata hu) bolte hai to kiya ham bol sakte hai
me aytullah sistani sahab ki taqleed me hu
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
namaste wa namaskaar ka jo matlab aap ne bataaya hai ous ke peshe nazar khud ba khud (dusre pahlu'on = پہلوؤں wa baaton aur nataa'aej ko madde nazar rakhe beghair) bol sakte hain wa kah sakte hain jaa'aez hai
albatta aap ke liae kahna zaruri nahi hai
Note :
- aap namaste wa namaskaar ki jagah "Aadaab" kah sakte hain, hamaare buzurgon ne aiysi hi jag'hon ke liae "Aadaab" ko raa'aej kiya hai
- salaam ke mota'alliq niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
16 / جمادى الثانى / 1441 ھ.ق