Sawaal az : mohtarama janaab Nigar Faatema Sb.
Hamaara sawaal hai jawaab Aayatullah Seestani sahab ke fatwe ke mutabiq ho
Namaaze zohar aur asr aur namaaze maghrib aur isha jab ham saath padhte hain to agar hamne zohar ki namaaz ke liye aqaamat padhi hai to keya asr ke liye phir se aqaamat padhna zaroori hai ya nahi ?
Isi tarha agar hamne maghrib ki namaaz ke liye aqaamat padhi hai to keya isha ke liye aqaamat padhna zaroori hai ya nahi ?
Aur aurat (women) ke liye ye bhi bataiye ke namaaz Shuru karne se pahle azaan zaroori hai ya nahi ?
Dhiyan rahe jawab Aayatullah Seestane ke fatwe se hona chahiye...
Jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
mard aur aurat ke liae mustahab hai ke rozaana ki waajib namaazon [(panjgaana / پنجگانہ), ada ho ya qaza, watan me ho ya safar me, sehat'mand ho ya mariz] se pahle azaan kahen phir aeqaamat
dusri waajib ya mustahab namaazon ke liae azaan wa aeqaamat kahna jaa'aez nahi hai
agar donon namaaz milaa kar wa aek saath padhen ya alag alag (zeyaadah faasele se) har namaaz ke liae judaagaana aeqaamat kahna mustahab hai, aek ke liae kah diya to dusri se saaqit nahi hogi
Note :
- agar namaaze zohr wa asr aur namaaze maghrib wa aesha aek saath wa mila kar padhi jaa'ae aur pahli namaaz ke liae azaan kah di hai to baad waali namaaz se dusri azaan saaqit hai
- agar donon namaaz ke darmeyaan faasela zeyaadah ho to baad waali namaaz se azaan saaqit nahi hogi
- azaan wa aeqaamat mustahab hai waajib wa zaruri nahi hai
- namaaze jum'aa ka shumaar rozaana ki namaaz me hota hai lehaaza namaaze jum'aa ke pahle azaan wa aeqaamat dena wa kahna mustahab hai
(pas aek hi azaan namaaze zohr wa asr aur namaaze maghrib wa aesha ke liae kaafi hai)
albatta donon namaaz ke darmeyaan naafelah, taaqibaat aur doa ke faasele se koei noqsaan nahi hoga is qadr faasele me koei haraj nahi hai
Niche di gaei headline par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
19 / صفر / 1441 ھ.ق