Sawaal az : khaahar-e-geraami / Mumbai
Ek aurat Ka namehram ke samne kitna makeup karna jayz hai ? aur mukkamal hijab Ko bhi detail me btaeyega
Jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
sab se pahle ye bata dun ke make-up wa banaao singhaar (بناؤ سنگھار) apne khaawand ke liae hai ghair mahram ke liae nahi hai
bahar'haal ghair mahramon ke saamne zarra baraabar bhi aiysa make-up wa aaraa'eish ho jis ka shumaar sajaawat wa zinat me ho to haraam hai, ghair mahram se ous ko chhupaana waajib hai
aksar foqaha wa maraaje ke fatwa ke motaabiq ghair mahramon ke saamne apne saare jism ko aiyse parde wa hejaab se chhupaa'ae jo khud zinat (zarq barq / tip tap waala) na ho
lekin wozu me jetna chehra dhote hain ous meqdaar chehre ka parda zaruri nahi hai
eisi tarah kalaa'ei se oungliyon tak (panja) ka parda zaruri nahi hai
tamaam paiyron ko hatta takhnon (ٹخنوں) se niche bhi ghair mahram se chhupaana zaruri hai
(albatta namaaz me takhno se niche paiyron ko chhupaana waajib nahi hai)
Note :
- make-up wa zinat ke ta'alluq se mazid maalumaat wa ahkaam hain masalan zewar pahne huei hai, aankhon me surma wa kaajal laga hai, bhanwen (eyebrow) bani hain, ya abru par rang kiya gaya hai ..., isi tarah chudiyaan, haar, shaadi ki anghuthi, chlla ... pahne ho ya masnuei baalon ki topi ... pahne ho to in sab ka keya hukm hai ?
- Niche di gaei video dekhna aur di gaei surkhi par click kar ke jawaab ka padhna mofid hai insha'allah
- keya auraten mike par soz, salaam, majlis aur nauha padh sakti hain ?
- Aurat ka youtube par taqrir karne aur majlis padhne ka shar'ei hukm
mokhtasar jawaab me in sab ke ahkaam ko bayaan karna mushkil hai
Kya auraten shalwaar (lengis) pehan kar namaaz padh sakti hain ?
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
10 / جمادى الثانى / 1441 ھ.ق