Sawaal az : +966 57.....
Assalam alaikum
Khuda wande aalam se dua karta hu ke aap hazraat khair-o-aafiyat se hon
Janaab mera ek sawaal hai ummeed karta hu ke aap se maqool jawaab milega
Baaz waqt zehan me kuch bure khayaalaat aate hain din me bhi aur raat ko bhi jiski wajah se sharmgaah se rotubat ke kuchh qatre jaari hote hain yeh rotubat kya hukm rakhti hai aur aiese me namaaz ke liye kya hukm hai
Meharbani hogi ke aasan lafzo mein bayaan karein jisse ke samjhne me dushwari na ho
Khuda hafiz
... husain
Jaunpur u.p india
Haal muqeem Saudi arab
Muqallid : Ayatullahil uzma Agha-e-Syed Sistani
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ
agar koei rotubat mard se khaarij huei hai aur nahih jaanta ke mani hai yaa peshaab yaa is ke aelaawah koei aur rotubat
agar ous me tamaam 3 alaamaten wa neshaaniyaan paaei jaa'aen yaa oun me se koei aek alaamat wa neshaani paaei jaa'ae to ous par mani ka hukm jaari ho ga namaaz ke liae ghusl karna zaruri hai
Neshaaniyaan wa alaamaten :
- shahwat ke saath nikle
- ouchhal (اچھل) kar baahar aa'ae
- baahar nikalne ke baad badan sust ho jaa'ae
agar ye tinon neshaaniyaan na hon yaa in me se baaz na ho to wo rotubat mani ka hukm nahin rakhti lehaaza namaaz waghairah ke liae ghusle janaabat zaruri nahin hai
lekin keya ye rotubat paak hai ya nahin ? is jawaab ko padhne ke liae click here
Note :
- mariz aur aurat ke liae zaruri nahih hai ke rotubat ouchhal kar nikle aur nikalne ke baad badan sust ho jaa'ae balke agar shahwat ke saath baahar aaei hai to mani ka hukm diya jaa'ae ga lehaaza namaaz waghairah ke liae ghusl yaa majburi ki surat me tayammum kare
- behtar hai niche recommend kiae ga'ae jawaab ko bhi molaaheza farma len
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna, shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
29 / جمادى الثانى / 1441 ھ.ق