mahr ke waajib hone par dalil | ous ka hukm | masaa'ael - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, February 17, 2020

mahr ke waajib hone par dalil | ous ka hukm | masaa'ael

Sawaal az : +966536......


Salamalekum Agha.....
Allah apko aur apki family ko sehat aur tandrusti aata Kare.....


Agha aap se sawaal hai argent me...
Kya shaadi me mahr waajib hai agar waajib hai to quran se aur motabar kitaabon se reference de kar bataiye ... meharbani kar ke argent...


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
شکریہ


sab se pahle aap ki khidmat me arz kar dun ke mahr ke waajib hone par dalil ka ta'alluq ijtehaad se hai agar kisi ko ye samajhna hai to Hauza'ae eilmiya Najafe ashraf ya Qummul moqaddas me barson taalim haasil kare


moqallid ki bas aetni zimmedaari hai ke apne marja ke fatwa ke motaabiq amal kare


bahar haal nekaah me mahr ke mash'ru wa waajib hone par musalmaanon ka ittefaaq hai aur is ka wojub mokhtalif aayaat wa rewaayaat se saabit hai


Aayaat :


qur'aan hakim me kalema'ae mahr = "مہر" ka zikr nahin hai is ke bajaa'ae "sadoqaat (sadaaq), ojur = ajr (ye kalema zeyaadah tar waqti aqd = mut'ah aur kanizon se shaadi ke waqt istemaal hota hai) aur fariza (farz) ka zikr hai


Surah nesa aayat 4 me hai :


"وآتوالنساء صدقاتهن نحلة..."


"aur auraton ko oun ke mahr khushi se diya karo..."


is aayat me mahr ada karne ka hukm diya gaya hai


Eisi surah ki aayat 25 me hai :


"...آتوهن اجورهن بالمعروف..."


"...shaaeista tariqe se oun ke mahr ada karo..."


surah nesa hi ki aayat 19 - 20 - 21 me bhi mahr ki taraf aeshaara huaa hai jis ne mahr ada nahin kiya ous ne gunaah wa zulm kiya


surah ahzaab aayat 50 me kalema'ae ojur ka zikr hai aur fariza ka bhi, fariza waala hissa molaaheza farmaa'aen :


"...قد علمنا ما فرضنا عليهم فى ازواجهم..."


"...yaqinan ham ne momenon par oun ki biwiyon aur kanizon ke baare me jo moqarrar (farz) kiya hai jaante hain..."


mokhtasar ye ke mahr ada karne ka hukm diya gaya hai aur na dene ki mazammat ki gaei hai ye dalil hai ke mahr ada karna waajib hai


Rewaayaat :


mahr ke waajib hone par bahot saari rewaayaat dalaalat karti hain baaz rewaayaat me mahr ada na karne waale ko saariq (chor) aur zaani se taabir kiya gaya hai ous par laanat bhi ki gaei hai aur baaz me kaha gaya hai khoda tamaam gunaahon ko mo'aaf kar dega lekin biwi ke mahr ko mo'aaf nahin kare ga


Imaam Saadiq ne apne jad Rasule Khoda (صلوات الله عليهم) se naql kiya hai :


"اِنَّ اللهَ يَغفِرُ كُلَّ ذَنبِِ يَومَ القِيَامَةِ اِلَّا مَهرَ اِمرَاَةِِ..."


"ba tahqiq khoda roze qeyaamat tamaam gunaahon ko bakhsh dega magar biwi ka mahr..."


(forua-e-kaafi jild 5 p 382 ketaabun nekaah baab nawaadir fil mahr)


Note :


  1. mahr aurat ka haq hai ye mard ke zimme hai (nekaah ke waqt moqarrar kiya gaya ho ya na kiya gaya ho) shauhar par waajib hai ke ada kare
    lekin agar aqde daa'aem me mahr ka zikr kiae beghair nekaah ho jaa'ae to wo shar'an sahih aur durust hai baatil nahin hai
    lekin agar waqti aqd = mut'ah me hatta be eilmi ya ghaflat ya bhul ki wajah se bhi mahr moqarrar na huaa ho to aqd baatil hai

  2. behtar hai niche di gaei video dekh len

  3. aashiq aur paak daamani | kis aurat ka feshaare qabr nahi hoga | bad akhlaaq miya biwi | sabr ka ajr


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


22 / جمادى الثانى / 1441ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen