اردو میں پڑھنے کے لیۓ یہاں دبائیں
Sawaal az : Mohtaram Janaab Kabir Sb (Pakistan)
Malik Bin Nuwayra (r.a) ke life ke baare me bataiye ga ke Unko kis ne aur keyon shaheed kiya ? agar detail reference ke sath mil jaey to Aap ka ahsan-mand hunga
jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكم
Maalik Bin Nowairah (مالک بن نُوَیره) ka ta'alluq Qabila'ae Bani Yarbu se tha ye qabila baa sharaf wa baa waqaar tha aap apne qabila ke sardaar the
apne qabila waalon ke hamraah Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ki khidmat me aa'ae aur islaam qabul kiya
Is qabile ke log apni zindagi ki aakheri saans tak Rasule Maqbul (صلى الله عليه و آله) aur islaam ke wafaadaar rahe aur saahebe zulfaqaar ke mukhlis
chunke aap khud azim shakhsiyat ke haamil the lehaaza Rasule Akram (صلى الله عليه و آله) ne apna numaa'eindah moqarrar kiya tha taake apne qabila... waalon se zakaat waghairah wosul karen aur madina laane ke bajaa'ae wahin zarurat mandon aur mohtaajon me taqsim kar den
Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ki shahaadat ke baad jab Janaabe Maalik (رضوان الله عليه) madine tashrif laa'ae to mimbar par Abu Bakr ko dekha ke khutba de rahe hain. Hazrat Maalik (رضوان الله تعالى عليه) ne haazerin se kaha tum logon ko keya ho gaya hai ke jis ki welaayat wa khelaafat ka hukm Rasule Khoda (صلى الله عليه وآله) ne diya tha oun ko chhod kar Abu Bakr ko maan liya ? logon ne kaha is tarah ke haadesaat hote rahte hain Janaabe Maalik ne farmaaya ye haadesa nahi hai balke tum logon ne khoda aur ous ke rasul ke saath kheyaanat ki hai
phir Abu Bakr se kaha tum ko kis ne mimbar par bethaaya ? jab ke Rasule Khoda (صلى الله عليه و آله) ke jaa'nashin maujud hain
Abu Bakr ne gaali de kar haazerin se kaha in ko masjid se nikaal do "Qunfuz" aur "Khaalid Bin Walid" (لعنةالله عليهم) outhe aur aap ko zabardasti masjid se nikaal diya
Janaabe Maalik ount par sawaar huae aur Mohammad wa aale Mohammad par salawaat bheji aur Abu Bakr ki mazammat wa Ahlebaite Rasul (صلوات الله عليهم) ki shaan me ash'aar padhe phir chale ga'ae
Mokhtasar ye ke aap ne Abu Bakr ki khelaafat ko taslim nahi kiya tha
is liae ke "Hajjatul Wada" ke baad waaqa'ae ghadir ko guzre taqriban 3 maah se zeyaadah arsa nahi guzra tha wahaan bhi Janaabe Maalik waghairah ne dekha tha ke Rasule Khoda ne ba hukme khoda Amirul Momenin Ali (صلوات الله عليهم) ko apna jaa'nashin moqarrar kiya
Abu Bakr ghaasibe Khelaafat the is liae apni qaum se kaha ke Abu Bakr ko zakaat aur sadaqaat naa den
Ye wo asbaab hain jis ki bena par Abu Bakr ne sepaahiyon ke saath "Khaalid Bin Walid" ko aap ke qabila ki jaanib bheja jab qabila waalon ko maalum huaa ke ye jang ke aeraada se aaya hai to qabila ke bahaaduron ne bhi talwaar outha li... namaaz ke waqt talwaaren rakh kar sabhi namaaz padhne me mash'ghul ho ga'ae "Khaalid Bin Walid" (لعنة الله عليه) ne socha is se behtar mauqa nahin mile ga abhi is mauqa se faa'aedah outha len lehaaza apne sepaahiyon ko hukm diya ke sab ki gardan ouda do tamaam qabile waalon ko Janaabe Maalik (رضوان الله عليه و على قبائله) samet shaheed kar ke auraton ko asir bana liya
aur tamaam shohada ke saron ko deg ke niche rakh kar ba'taure aendhan (ایندھن) jala kar khaana pakaaya
In ke wahshiyaana wa ghair insaani jaraa'aem yahin khatm nahi huae jis raat Janaabe Maalik (رضوان الله عليه) ko shaheed kiya ousi raat aap ki bewaah "Oumme Tamim Binte Minhaal" (jo nehaayat khubsurat wa hasino jamil thin) ke saath "Khaalid Bin Walid" (لعنة الله عليه) ne zabardasti munh kaala kiya
Jab "Khaalid Bin Walid" bade shaateraana aur makkaaraana andaaz me madine aaya to "Umar Bin Khattaab" ne ous se kaha ay dushmane khoda tum ne musalmaan ko qatl kiya aur oun ki biwi se zena kiya... khoda ki qasam ham tum ko sang saar karen ge...
Umar ne Abu Bakr se Khaalid Bin Walid ko saza dene ke liae kaha to Abu Bakr ne kaha ay Umar ye na kaho walid se khataa'ae ijtehaadi (خطائے اجتہادی) sarzad huei hai
Khataa'ae ijtehaadi aiysi separ hai jis se olamaa'ae ahle sunnat shaiytaan... ko bhi bari kar dete hain ye ahle sunnat ki ajibo gharib makhluq hai ye khoda se bhi mohabbat rakhti hai aur shaiytaan se bhi hamdardi. is ke nazdik zaalim bhi ach'chha aur mazlum bhi ach'chha hai.
is se bhi bad'tar khataa'ae ijtehaadi zaalim ko mazlum bana deti hai aur mazlum ko zaalim ...
khataa'ae ijtehaadi is liae hai ke kholafa aur arbaabe saqifa ke jaraa'aem wa dahshat gardi ki taujih kar saken
Qaabile tawajjoh baat ye hai ke Umar "Khaalid Bin Walid" ko path'thar maar maar kar halaak kar daalne ki baat kar rahe the lekin jab khud masnade khelaafat par baithe to is maloun ko damishq ka haakim moqarrar kiya
Ye hai sunni bhaa'eiyon ke kholafa ke ghinaa'aune (گھناؤنے) jaraa'aem aur adaalat wa kartut...
Abu Bakr aur oun ke saathiyon ne bahot saare mujremaana aamaal wa raftaar ka irtekaab kiya jaiyse Janaabe Zahra (سلام الله عليها) ke ghar ko nazre aatish karna... ghasbe fadak...
Janaabe Maalik Bin Nowaiyrah (رضوان الله عليه) jaiyse azim sahaabi ko Abu Bakr ke eima par shahid karna... bhi oun ke jaaraa'aem ke tasalsul ka hissa hai
Is waqt oun ki fikri wa naa jaa'aez aulaad bhi waiyse hi jaraa'aem ka irtekaab kar rahi hain
Is mokhtasar bayaan se aap ko maalum ho gaya hoga ke Janaabe Maalik ko kis ne shaheed kiya ? Aur keyon shaheed kiya ?
Abu Bakr ke aeshaare par "Khaalid Bin Walid" (لعنة الله عليه) ne shaheed kiya aur wajh'he shahaadat Abu Bakr ki baiy'at se inkaar aur Ahlebaite Ismato Tahaarat (صلوات الله عليهم) se mohabbat hai
Tafsili maalumaat ke liae sirf 3 ketaabon ka hawaala deta hun aek shia ketaab aur 2 mash'huro maaruf sunni ketaabon ka :
- muntahal aamaal jild 1 p 172 fasl 10 baab 16 / taalif seqatul mohaddesin shaikh abbaas qumi ( saaheb-e-mafaatihul jenaan )
- taarikh-e-tabari jild 2 p 501 - 504 / matbuaa mo'assasa aalami lil matbu'aat / beirut / lebanon
- ousdul ghaaba fi maarefatis sahaaba jild 4 p 295 - 296 / baab mim wa alif / taalif ibnul asir
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
23 / جمادى الثانى / 1441ھ.ق
No comments:
Comment