Let kar quraan ki telaawat sunna kaisa hai ? - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, February 29, 2020

Let kar quraan ki telaawat sunna kaisa hai ?

Sawaal az : +9186778...


Assalam Aalaikum


Mera sawaal hai ki kya raat me mobile se Qur'aan ki tilaawat ki recording lete hue Suna ja sakta hai
Yaani letne ki haalat me headphone laaga ke sun sakte hain ?


Waise allhmdulillah mai QURAN ki tilawat kiya karta hun bahot hi adabo ehtraam ke sath jaise shariyat ne bataya hai


Jawaab :


باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


Agar be adabi ka qasdo aeradaah na ho to haraam nahi hai lekin agar koei majburi na ho to adab ka taqaaza ye hai aur afzal wa behtar bhi yahi hai ke let kar na sunen taake zeyaadah se zeyaadah aehteraam ki re'aayat ho sake


Bahot saare buzurg wa auliyaa'ae aelaahi (اولیاء الہی) ous kamre me pair (پیر) nahi phailaate (پهیلاتے) the jis me Qur'aan hota tha
Is waqt bhi aiysa hi hai


Hatta baaz olama ke baare me suna hai ke jis kamre me hadis ki ketaaben hoti thin ous me paiyr nahi phaiylaate the


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna - shoba-e-sawaalaat Qum / Iran


19 / رمضان الكريم / 1440 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen