kya raat me mobile se Qur'aan ki Tilaawat ki recording lete hue Sunna ja sakta hai...? - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Saturday, February 29, 2020

kya raat me mobile se Qur'aan ki Tilaawat ki recording lete hue Sunna ja sakta hai...?

SAWAAL AZ : +9186778...........

Assalam Aalaikum

Mera Sawaal hai ki kya raat me mobile se Qur'aan ki Tilaawat ki recording lete hue Sunna ja sakta hai
Yaani Letne ki haalat Me headphone laaga ke sun sakte hain??

Waise allhmdulillah Mai QURAN ki Tilawat Kiya karta hun,,Bahot hi aadab-o-Ahtraam ke sath,,Jaise Shariyat ne bataya hai


JAWAAB :

باسمه تعالى

عليكم السلام و رحمةالله و بركاته

agar be adabi ka qasd-o-aeradaah na ho to haraam nahi hai lekin agar koei majburi na ho to adab ka taqaaza ye hai our afzal wa behtar bhi yahi hai ke let kar na sunen taake zeyaadah se zeyaadah aehteraam ki reaayat ho sake

BOHOT SAARE BUZURG WA AULIYAA'AE AELAAHI ( اولیاء الہی ) OUS KAMRE ME PAIYR ( پیر ) NAHI PHAIYLAATE ( پهیلاتے ) THE JIS ME QUR'AAN HOTA THA
IS WAQT BHI AYSA HI HAI

hatta baaz olama ke baare me suna hai ke jis kamre me hadis ki ketaaben hoti thin ous me paiyr nahi phaiylaate the


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-aedaara-e-daarul etrat Azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran

19 / رمضان الكريم / 1440ھ.ق
Subscribe my channel
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen