kya khums nikaale hue paise ko ( 6 month pahle nikala gaya hai, ) qarz me adaa kar sakte hain?... - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Tuesday, February 4, 2020

kya khums nikaale hue paise ko ( 6 month pahle nikala gaya hai, ) qarz me adaa kar sakte hain?...

Sawaal az : janaab mohtaram Asad Ali Sb /Azamgarh (up)

assalam alaikum..
muqallid-e-Ayatullah sayyed sistani r.a

mera question hai..
kya khums nikaale hue paise ko ( 6 month pahle nikala gaya hai, ) qarz me adaa kar sakte hain?  q ki ab qarz aa gaya hai sar pe, or samne wale ne  magna shuru kar dia h..


jawaab :

                           باسمه تعالی

         علیکم السلام و رحمةالله و بركاته


agar ous raqam ke aelaawah paiyse nahi hain to ous me tasarruf kar sakte hain yaani ous raqam se qarz ada kar sakte hain

lekin agar ous raqam ke aelaawah paiyse hain jis se qarz ada kar sakte hain to ous raqam me tasarruf jaa'aez nahin hai
magar ye ke aayatullaah ke daftar ya motabar wakil se aejaazat len


والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran

9 / جمادی الثانی / 1441ھ.ق
Subscribe my channel
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen