Kya aayesha rasul-e-khoda (s.a.w.w) ki sabse kamsin zaujaa (wife) thi? Kya rasul-e-khoda s.a.w.w ke khaandaan aur aayesha ke khaandaan ke bich achhe rishte wa mohabbat thi?........ - Edaara-e-darul itrat
Hazrat-e-fatemah (s.a) ke ghar par khalifa ka hamla Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, February 10, 2020

Kya aayesha rasul-e-khoda (s.a.w.w) ki sabse kamsin zaujaa (wife) thi? Kya rasul-e-khoda s.a.w.w ke khaandaan aur aayesha ke khaandaan ke bich achhe rishte wa mohabbat thi?........

Sawaal az : mohtaram janaab mohammad faizan sb

Salaamun alaikum wrwb Maulana sb

Mera sawaal hai ke pakistan me ek tv channel pe debate me ek shiaa maulana jinka naam "Allama hussain mas'oudi" hai wo farmaa rahe the jiska khulaasa-e-kalaam ye hai ki aayesha ek motabar wa parhezgaar amaanatdaar... Etc shakhsiyaat thi aur siiddiqa thi siddiq khaandaan se ta'alluq rakhti thi inke khaandaan se wa rasul-e-khoda s.a.w.w ke khaandaan se bohot achhi dosti wa mohabbat thi inho ne kaha jaisa ki maula Ali a.s ne mohammad ko kaha tha ki mohammad mere bete hain jo ki aayesha ke bhai the to isse in dono khaandaan ke bich kitni mohabbat thi iska pata lagta hai aur farmaaya ke ye rasul-e-khoda s.a.w.w ki sabse kamsin zaujaa thin...
 iski wazahat chahata hu aapse


jawaab :

                           باسمه تعالى

         عليكم السلام و رحمةالله و بركاته


ji me ne bhi ous ki video dekhi hai , mere liae nehaayat afsos wa dukh ka maqaam ye hai ke ous me jo kuch kaha gaya hai ous ka jawaab ham log beraadaraan-e-ahl-e-sunnat ko dete the lekin aaj aek aemaama waale shia ko dena pad raha hai

sab se pahle arz kar dun ke oun ko allaama likha gaya hai lekin oun ko aetna nahin maalum hai ke mowannas wa mozakkar ke liae kis zamir ka istemaal hota hai , aaesha ke liae ounhon ne kaha : " razeyallah anho = رضى الله عنه " jab ke " razeyallah anhaa = رضى الله عنها " kahna chaahiae tha yaani mowannas ki zamir istemaal karte isi se oun ki baaqi baaton ka andaaza laga len


sunniyon ki motabar ketaabon me jo likha hai ous se bhi naa balad hain

ounhon ne jo kuch kaha hai ous ka jawaab diya jaa chuka hai , di gaei link me dekh wa sun len

lekin aaesha ki oumr ke mota'alliq ba taur-e-aeshaara sirf aetna batla dun ke ahl-e-sunnat ne hamesha se saabit karne ki koshish ki hai our is baat ka israar kiya hai ke  rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ) se jab aaesha ki shaadi huei to wo 6 saal ki thin lekin jab aap ke ghar gaein to 9 saal ki thin

in ko kamsin saabit karne ka maqsad rasul-e-akram ( صلى الله عليه وآله ) ki dusri biviyon par aaesha ko bartari dena wa momtaaz bataana hai


aaesha ki meqdaar-e-oumr ke hawaale se bata dun ke banu omaiyya our mota'assib sunniyon ne aaesha ke sin me tahrif ki hai

aaesha ki fazilat me jaiyse dusri rewaayaten gadhi ( گڑھی ) huei wa banaawati hain ousi tarah kamsini ke mota'alliq rewaayaten hain

chand dalilon our sobut o shawaahid ke motaabiq aaesha ki kamsini qaabil-e-qabul nahin hai :


(1) kamsini ke mota'alliq rewaayaten zeyaadahtar khud aaesha se naql huei hain is baat ka zikr vidio me bhi hai

aaesha ki ye baat apne baare me qaabil-e-qabul nahin hai is liae ke rasul-e-khoda ( صلى الله عليه وآله ) ki dusri biviyon se hasad ki bena par khud ko kamsin bataaya hai , khud aaesha ne aeteraaf kiya hai ke rasul-e-khoda ki biviyon makhsusan janaab-e-khadija ( سلام الله عليها ) se bahot zeyaadah hasad karti thin

(2) kamsini waali rewaayat ke raawi motabar nahi hain

(3) aaesha ki oumr ke mota'alliq rewaayaat our taarikhi naql me bahot ta'aaruz paya jaata hai , aek dusre ke bar khelaaf baat kahi gaei hai ...

(4) jo taarikh aaesha ke eimaan laane ki hai our rasul-e-akram (صلى الله عليه وآله ) se shaadi ki jo taarikh hai ya aaesha ki badi bahen ki jo oumr hai ya jo taarikhi haqaaeq hain

oun sab ka jab ham tajziya wa tahlil karte hain to 6 saal ki oumr me shaadi hona our 9 saal ki oumr me rasul-e-khoda ( صلى الله عليه و آله ) ke ghar jaana ghalat hai ( yaani aaesha khurd saal nahi thin )*
*motabar hadis wa taarikh se saabit hai ke rasul-e-maqbul ( صلى الله عليه و آله ) se jab aaesha ka aqd huaa to taqriban 17 ya 18 saal ki thin our jab aap ke ghar gaein yaani ba taure rasmi shaadi huei to ous waqt oumr 19 saal thi , hatta baaz mowarrekhin ki tahqiq ke motaabiq shaadi ke waqt aaesha ki oumr 20 ya 22 ya 24 saal thi



(1) headline👇

Kya surah nur ki Ayat 11 aur 26 me ummul momeneen se muraad janab-e-aaiysha hain ya.. Part-1



(2) headline👇

Kya surah nur ki Ayat 11 aur 26 me ummul momeneen se muraad janab-e-aaiysha hain ya.. Part-2




(3) headline👇


rasul (s.a.w.w) ne aaesha wa hafsa se shaadi keyon ki?





(4) headline👇


Rasul-e-khuda ki wafaat hui thi ya shahaadat?



(5) headline👇

Sabse zayada resaalat ki tauheen Kisne ki part-1



(6) headline👇

Sabse zayada resaalat ki tauheen Kisne ki part-2



(7) headline👇

Sabse zayada resaalat ki tauheen Kisne ki part-3



(8) headline👇

Farzand-e-ali aur kholafa ka naam... Part-1



(9) headline👇

Farzand-e-ali aur kholafa ka naam... Part-2



والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran

15 / جما دى الثانى / 1441ھ.ق
Subscribe my channel
.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen