Sawaal az : mohtarama janaab Syeda Shahida Sb / Multan
A.o.a
Keya zeyaarat-e-Aashoora, zeyaarat-e-warisa, zeyaarat-e-jamia ko baith kar padha ja sakta hai ? Aashoor ke din ke elaawa.
Bachon ko zeyaarat-e-warisa yaad karwa rahi hun raat ko jab sone jaate hain to yaad aata hai phir lete huae kabhi sun'ne lagti hun keya aisa kiya jaa sakta hai
Jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
mustahab kaam ko jis tarah chaahen anjaam de sakti hain
in zeyaaraton ko padhna mustahab kaam hai lehaaza roze aashura wa ghaire aashura baith kar padh sakti hain
Dusre ye ke surah aale imraan 191 me hai :
jo log khoda ko khade aur baithe aur pahlu (karwat) par lete yaad karte hain ...
is aayat me bistar ki taraf bhi aeshaara hua hai lehaaza is aayat se istefaada hota hai ke uth'te baith'te karwat lete aur bistar (wa mosalle) par bhi padh sakti hain ba'aese ajaro sawaab hai.
albatta agar bataure kaamil is ke aasaaro barakaat aur nuraaniyat se faa'aeda uthaana chaahti hain to makhsus aadaab wa shara'aet ke motaabiq padhen
NOTE :
- baith kar ya bistar par is tarah padhen ke ourfe aam me tauheen aur be'ehteraami na samjha jaa'ae
- mazid maalumaat ke liae niche di gaei teeno video dekh len
Zeyaarate Aashurah ki wazaahat
zeyaarate jaameah kabirah ki ahamiyat aur fazilat
zeyaarate naahe'yah ka mokhtasar ta'aaruf || shohadaae karbala par imaame zamaana ki marsiya goei
والسلام
Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat Azim Aabaad / Patna shoba-e-sawaalaat Qum / Iran
شب عاشورہ / 1441ھ.ق