Salamun Alaikum
Humne mannat mani hai ke beta ya beti hogi to ye name rakhenge or agar Maine na rakha to uska kaffara dena hoga?? aur kitna?
Note name mere buzurg rakhenge or main isse inkar nhi kar sakta or name name rakhne ki niyat hm dono ne ki thi agar wo name hm dono nhi rakh paye to iska kya kaffara hai or kitna hai?
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
agar aap ne is tarah mannat ( nazr ) maani hai ke agar beta ya beti hogi to allah ke liae mujh par waajib hai ke ladke ya ladki ka ye ... naam rakhun ga ; to is par amal karna zaruri hai , agar amal nahi kiya to gunaah kiya , kaffaarah dena laazim hai
Kaffaarah :
aek banda aazaad karen ya 10 faqir ko ser karen ya oun ko poshaak den , agar in ko anjaam nahi desakte hain to mosalsal ( lagaa taar ) 3 roze rakhen
( ba motaabiq fatwa aayatullah sistaani wa rahbar-e-inqelaab " khaamenaei " )
Note :
(1) faqir se moraad :
aiysa momin jis ki aamdani aetni na ho ke apna our apne ahl o ayaal ka kharch saal bhar chala sake
(2) mazid tafsil ke liae niche (jiski headline di gaei hai) "CLICK HERE" pe click Kar ke jawaab padh len
HEADLINE 👇
Kya ahad aur nazr ki niyyat rad ho sakti hai? Nazr aur ahad ki namaaz wajib ki niyyat se padhni hoti hai?... CLICK HERE
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawalaat qum / iran
18 / جمادی الثانی / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel
Subscribe my channel