sawaal az : mohtaram janaab syed rizwaan sb / ahmadabaad
Salaam...
Ek dost ka sawaal hai ki "Kisi bhi chiz mein (chahe koi bhi faisla lena ho) dil ki sun'ni chahiye ya phir dimaagh ki sun'ni chahiye?
Uske sawaal ka matlab ye hai ke is baarein mein islam aur shareat kya kehte hai...
Dil aur dimaagh dono jab kisi bhi cheez mein faisla karne mein alag alag jaa rahe ho to apni shariat is baarein mein kya kehti hai ke kiski sun'ni chahiye?
Shukriya
Khudahaafiz
jawaab :
باسمه تعالی
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
yaqinan demaagh se aap ki moraad aql hai
aql wa dil , saalim hon to donon ki sunni chaahiae , agar in me se koei aek saalim ho to ous ki sunen agar donon saalim na hon to kisi ki na sunen
kash'makash ki is ghadi me maasumin ( صلوات الله عليهم ) ke farmudaat our taalimaat par amal karen
qadre zaruri wazaahat :
aql-o-dil aek dusre ke raqib wa harif nahin hain in donon me tazaad nahin hai yaani aek dusre ki zid wa mokhaalif nahin hain
lehaaza koei faisla karte waqt allaah ki jaanib se wadi'at huei , in donon nematon wa taaqaton se istefaada karna chaahiae
agar in se sahih wa durust istefaada kiya to zindagi me kaamyaabi hai warna shikast wa halaakat wa naabudi hai
aql-e-salim ka kaam insaanon ki rahnumaaei hai , aql-e-salim bataati hai ke ach'cha keya hai ? our bura keya hai ? faaeda kis me hai our noqsaan kis me hai ? sa'aadat wa shaqaawat keya hai ? haq keya hai our baatil keya hai ?
aql raah dekhaati hai our chaah ( کنواں = گڑھا ) bataati hai , aql cheraagh-e-raah hai
our fitrat-e-aelaahi ki bunyaad par saalim dil insaan ko ach'chaaei our sahih raaste ki taraf maa'ael karta hai wa oubhaarta hai
aql dil ki raahnuma hai yaani pahle aql aage badhe our raaste ki tashkhis kare phir dil ous ko qabul kare our anjaam dene par aamaada kare wa targhib de
mokhtasar ye ke aql cheraaghe dil hai
amirul momenin ali ne rasul-e-khoda ( سلام الله عليهم ) se rewaayat ki hai :
.. مَثَلُ العَقلِ فِى القَلبِ كَمَثَلِ السِّرَاجِ فِى وَسَطِ البَيت ..
" aql ki misaal qalb me cheraagh ke maanind hai ( taarik ) ghar ke bich me "
( aelalush sharaae jild 1 p 98 baab 1 baabul eillah allati ... )
albatta is baat ka imkaan hai ke koei kaam aql ki nazar me bura ho lekin dil ous ko karne ke liae kahe our anjaam bhi de
Misaal :
aql kahti hai cigarette pina noqsaan deh hai na piyo lekin baaz logon ka dil nahin maanta hai cigarette pine ke liae kahta hai our insaan pi leta hai dil aql ki aetaa'at nahih karta hai
dusri misaal :
aql kahti hai folaan ladki ya ladke se shaadi na karo behtar nahih hai magar dil kahta hai kar lo aql kahti hai folaan se kenaara kar lo magar dil kahta hai ...
aiysa keyaun hai ?
dilon par zang lag gaya hai jaiyse lohe ko zang lagta hai
kaiysa zang ?
hawaae nafs , shaitaani waswasa , husn o jamaal , maal o daulat , jazbaat ... ka zang lag gaya hai
is liae dil ki baat maan leta hai , qur'aan wa hadis ke motaabiq ye dil " nafs-e-ammaarah " hai insaan ko ghalat wa bura kaam karne ke liae kahta hai
yusuf aayat 53 me hai :
" ... nafs to buraaei par ouksaata hai ... "
dar haqiqat bura kaam karne ke liae dil nahih kahta hai balke hawaae nafs , shaitaani waswasa kahta hai
zaahir hai is surat me dil ki baat maanna ghalat hai maanne me shikast our tabaahi wa barbaadi ... hai
jo shakhs apne nafs wa dil par ghaalib aa jaae hadis ke motaabiq ous ne jehaad-e-akbar kiya hai
saalim dil kabhi bhi bura wa ghalat kaam karne ke liae nahin kah sakta hai , jab bura karne ke liae kahe to dil ki khaahish ko aql-e-salim ke taraazu par taulne ke baad faisla karen
our agar aql par hawaae nafs , shaitaani waswasa , husn o jamaal , maal o daulat , jazbaat , hubb-e-dunya ... ka zang lag jaae to waa waila
amirul momenin ali ( عليه السلام ) se rewaayat hai :
حُبُّ الدُّنَيا يُفسِدُ العَقلَ وَ يُصِمُّ القَلبَ عَن سَمَاعِ الحِكمَةِ وَ يُوجِبُ اَلِيمَ العِقَاب
" dunya ki mohabbat ( dunya se waa'bastagi ) aql ko faasid wa kharaab kar deti hai our qalb ko hikmat sunne se bahra kar deti hai our dard naak azaab ka sabab banti hai "
( mustad rakul wasaa'ael wa mustam betul masaa'ael jild 12 p 41 )
is rewaayat me amirul momenin ( عليه السلام ) ne hubb-e-dunya ke 3 asaraat wa noqsaanaat ki taraf aeshaara kiya hai , 2 dunyaawi asar ; " aql ko kharaab kar deti hai our dil ko bahra " kar deti hai our tisra aukhrawi asar dardnaak azaab hai
zaahir hai jo asir-e-dunya ho our hubb-e-reyaasat wa maal o jaah ... ho to is surat me fitri aql saalim nahih hai lehaaza aql koei kaam karne ke liae kahe to nahin karna chaahiae ous ki baat na maanen
haqiqat me ye aql nahin kahti hai balke hubb-e-dunya our hawa wa hawas ... kahti hai
aql-e-salim ( aql-e-fitri wa qudsi ) hargiz ghalat kaam karne ke liae nahin kah sakti hai
dil ( nafs ) our aql ke darmeyaan jang wa moqaabala me agar insaan ki shahwat wa nafs par aql ghaalib aajaae to insaan farishton se bhi behtar wa afzal hai
haasil-e-kalaam ye hai :
aql-e-salim our dil-e-saalim ka faisla aek hi hota hai alag alag nahin hota hai
our dono ka maqsad wa hadaf bhi aek hi hai , maqsad wa hadaf ach'chaaeiyaan , kamaal our khoda hai
" انا لله و انا اليه راجعون "
" ba tahqiq ham allaah hi ke hain our ous ki taraf roju karne waale hain "
agar kisi bhi wajah se aql wa dil faisla nahin kar paa rahe hain to kash'makash ki is ghadi me keya karen ?
hadis-e-saqalain ( حدیث ثقلین ) par amal karen dekhen qur'aan our ahl-e-bait-e-ismato tahaarat ( صلوات الله عليهم ) ne keya farmaaya hai
hamaari aql ... naaqis hai our ye har lehaaz se insaan-e-kaamil hain , qadam ba qadam our zindagi ke tamaam shobon wa masaa'ael me ye hazaraat hamaare liae behtarin masiha wa mash'ale raah hain
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna - shoba-e-sawaalaat Qum / iran
4 / رجب / 1441 ھ.ق
Subscribe my channel
Subscribe my channel