sawaal az : +918979....
Salaam alaikum..mujhe ye puchhna hai ke kisi paak-daaman aurat ke kirdaar par agar koi aeb (ilzaam) lagaae to wo kaisa hai uske liye kya kaha gaya hai quraan Majeed me
jawaab :
باسمه تعالى
عليكم السلام و رحمةالله و بركاته
paak daaman aurat par badkaari ka ilzaam lagaana nehaayat qabih wa shani fel hai
gunaah-e-kabira hai , dunya wa aakherat me is ki oqubaten our nataa'aej bahot bure hain
tohmat lagaane waala dunya wa aakherat me mal'oun hai
surah nur aayat 23 me hai :
" jo log be khabar paak daaman momena auraton par tohmat lagaate hain oun par dunya wa aakherat me laanat hai our oun ke liae bada bhaari azaab hai "
rasul-e-khoda ( صلى الله عليه و آله ) ne farmaaya :
... مَن رَمَى مُحصَناً اَو مُحصَنَةً اَحبَطَ اللهُ عَمَلَهُ ...
" jo bhi paak daaman mard ya aurat par tohmat lagaae khoda wand ous ke nek aamaal ko bekaar wa baatil kar deta hai "
( aeqaabul aamaal p 335 )
paak daaman aurat par ilzaam lagaane ki saza bhi moqarrar ki gaei hai
surah nur aayat 4 me hai :
" our jo log paak daaman auraton par bad kaari ki tohmat lagaaen phir ous par 4 gawaah na laaen pas ounhen 80 kode maaro our oun ki gawaahi hargiz qabul na karo our yahi faasiq log hain "
is aayat me tohmat lagaane waale ke liae 3 baaton wa hukm , 80 kode maarne , gawaahi qabul na karne our faasiq hone ka zikr hai
tohmat lagaane par jismaani saza 80 kode hain , ijtemaaei saza ; wo is qaabil nahih hai ke ous ki gawaahi qabul ki jaae , oukhrawi saza ; ous ka fisq our azaab-e-azim hai
jo shakhs paak daaman ourat par zena ka ilzaam lagaae wo ya to 4 aadil gawaah se apna ilzaam saabit kare warna ouse 80 kode lagaae jaaen ge taake bela sobut logon ki eizzat wa aabru ke saath khelne ki jur'at na kare ( kisi mard par bela sobut ilzaam lagaane ka bhi yahi hukm hai )
albatta agar ilzaam lagaane waala talaafi kare to khoda moaaf kar dega is ke mota'alliq surah nur ki aayat 5 me khoda farmaata hai :
" sewaae oun logon ke jo is ke baad ( ilzaam lagaane ke baad ) tauba karen our islaah ( talaafi ) kar len to yaqinan allaah bada moaaf karne waala , raham karne waala hai "
is aayat me qaabil-e-ghaur wa tawajjoh baat ye hai ke jumlae " تابوا " ( tauba kar len ) ke baad jumlae " اصلحوا " ( apne aamaal ki islaah kar len ) ka zikr hai
ye is baat ki taraf aeshaara hai ke nedaamat wa sharmindagi , aeteraaf-e-jurm wa gunaah , aaeinda na karne ka azm our sach'che dil se tauba wa istighfaar zaruri hai lekin kaafi nahin hai
ilzaam lagaa kar masjid ya ghar ... me baith kar tauba wa istighfaar kare , dil hi dil me pashimaan ho ye kaafi nahih hai khoda is tauba ko hargiz qabul nahih kare ga
is liae ke is gunaah ka ta'alluq sirf is ki zaat se nahih hai agar sirf is ki zaat se rabt hota to tauba qabul ho jaati yahaan gunaah ( ilzaam ) ka rabt dusre se hai
lehaaza tauba qabul hone ke liae zaruri hai ke is ki talaafi bhi kare
talaafi is tarah kare :
jin jin logon ke saamne badkaari ka ilzaam lagaaya tha oun se kahe mujh se ghalti ho gaei jo ham ne kaha tha wo jhut hai ...
surah nur aayat 4 our 5 ke baare me janaab " samaa'ah سماعہ ) ne imaam saadiq ( عليه السلام ) se pucha kaiyse maalum karen wa samjhen ke tauba kar li hai ?
to imaam ( عليه السلام ) ne farmaaya :
يُكذِبُ نَفسَهُ عَلَى رُؤُسِ النَّاسِ حَتَّى يُضرَبَ وَ يَستَغفِرَ رَبَّهُ وَ اِذَا فَعَلَ ذَالِكَ فَقَد ظَهَرَت تَوبَتُهُ
" alaaniya sab ke saamne khud ki takzib kare yahaan tak ke maara jaae our apne rab se talab-e-bakhshish kare jab aiysa kar liya to ous ki tauba aashkaar wa zaahir ho gaei hai "
( foruae kaafi jild 7 p 241 ketaabul hodud baab maa yajebo fihit taazir fi jamieil hodud )
Note :
(1) jo log apni biwi par zena ki tohmat lagaate hain oun ke liae bhi ahkaamaat wa raah-e-hal qur'aan ne bayaan kiae hain
(2) di gaei video ka aakheri hissa mauzu se marbut hai
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
1 / رجب / 1441ھ.ق
🌹 روز ولادت با سعادت امام باقر علیه السلام 🌹