Sawaal az : mohtaram janaab kabir sb (Pakistan)
Sajde ki haalat me agar paon ke bare nakhoon jaanemaz ya zameen ko touch kar rahe hon to kya nemaaz makruh ya batil to nahi hoti ?
jawaab :
باسمه تعالى
سلام عليكمsajde me 7 aaza ka zamin ( jaae namaaz ) par hona zaruri hai oun ko "masaajid-e-sab'aa" ya "aazaae sajda" bhi kahte hain
peshaani, donon haathon ki hatheli, donon ghutne aur donon pair ke angunthe
agar angutha ( pair ki pahli aur sab se moti oungli ) ke naakhun aetne bade hain ke zamin par angutha pahunchne me rokaawat hai yaani angutha zamin par na pahunche to namaaz baatil hai
agar kisi ne mas'ala jaanne me kotaahi wa susti ki hai jis ki wajah se mas'ale ka eilm haasil nahi huaa to is tarah jetni namaazen padhi hain oun ko dobaara padhe
والسلام
syed shamshad ali katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Aabaad / patna shoba-e-sawaalaat Qum / iran
۔19 / جمادى الثانى / 1441ھ.ق
۔🌹شب ولادت با سعادت جناب زہرا سلام الله عليها 🌹۔
Subscribe us on youtube