Sela'ae rahim ka matlab | taakid | faa'aede | kamtarin darja | qat'ae rahim ka matlab | saza | is ka aelaaj - Edaara-e-darul itrat
Takhribe jannatul baqi ka seyaasi pas manzar Qabre hazrat Faatemah | aap ne kis ko apni namaaze janaaza me shirkat ki aejaazat nahi di ?

Monday, January 20, 2020

Sela'ae rahim ka matlab | taakid | faa'aede | kamtarin darja | qat'ae rahim ka matlab | saza | is ka aelaaj

Sawaal Az : khaahar-e-geraami (up)


As salaam o Alaikum


Mera sawaal ye hai ke ghar ke fardo ke bich duriya paida ho gaei
Is duriyo ke anjaam se ba khabar kare aur ise dur karne ke liye koei dua ya kargar nuskha Tamil kare.


Note : Plz name or address jawaab me shamil na kare.


Shukriya
Was Salaam.


Jawaab :


باسمہ تعالی
علیکم السلام و رحمة الله و برکاته


Qat’ae Rahim yaani apne rishte'daaron wa ahle qaraabat jaise Baap, Maa, Bhaaei, Bahen aur oun ki Aulaad aur Chacha, Phuphi, Khaala, Maamu aur oun ki Aulaad … se ta’alluq wa naataa todna (توڑنا) haraam hai
aur oun se sela’ae rahim yaani nek soluk aur ta’alluqaat qaa’aem rakhna waajib hai


Jetni takid sela’ae rahim ki, ki gaei hai outni hi mazammat qat'ae rahim ki, ki gaei hai.


Qat’ae Rahim ki saza wa anjaam :


qaraabat'daaron se qat’ae rahemi karne waalon ko aakherat ke saath saath dunya me bhi saza milti hai aur baaz sazaa'aen fauran milti hain eisi tarah sela’ae rahim ke bahot saare faa'aede wa asaraat-o-barakaat hain, oun me se baaz ki neshaan'dehi ki jaa rahi hai :


  1. Rishton ko mun’qata kar dene par laanat aur saza dene ka wada (surah raad 25)

  2. Buri wa achaanak maut :

  3. Rasule akraam (صلى الله عليه وآله) ne farmaaya :


    صِلَةُ الرَّحِمِ تُهَوِّنُ الحِسَابَ وَ تَقِی مَیتَةُ السُّوء


    "Sela’ae rahim (qabr wa qeyaamat me) hesaab ko aasaan karta hai aur buri (achaanak) maut se rokta hai"


    (amaali shaikh tusi p-481 h-1049)


    lehaaza jo qat'ae rahim kare ga ous ki maut buri wa achaanak ho sakti hai


  4. Oumr aur rizq me aezaafa :

  5. Rasule khoda (صلى الله عليه وآله) se manqul hai :


    ...صِلَةُ الرَّحِمِ تَزِيدُ فِى العُمُرِ وَ تَنفِى الفَقرَ...


    "...sela'ae rahim oumr ko zeyaadah karta hai aur faqr ko dur karta hai..."


    (bahaarul anwaar jild-74 p-88)


    pas qat'ae rahim oumr me kami aur faqro tang'dasti ka bhi sabab hai


  6. Fauran saza milti hai :

  7. Imaam Baaqir (عليه السلام) se marwi hai :


    ثَلاَثُ خِصَالِِ لَا يَمُوتُ صَاحِبُهُنَّ اَبَداََ حَتَّى يَرَى وَبَالَهُنَّ ، اَلبَغىُ وَ قَطِيعَةُ الرَّحِمِ وَ اليَمِينُ الكَاذِبَةُ...


    "tin khaslaten aiysi hain ke jis me bhi ye khaslaten paaei jaa'aen gi wo ous waqt tak nahi mare ga jab tak ous ko ous ke amal ki saza na mil jaa'ae. Zulm, Qat'ae rahim aur Jhuti qasam..."


    (al'khesaal jild-1 p-124 taalif shaikh saduq)


  8. Rahmate aelaahi se mahrumi ... :

  9. Rasule geraami (صلى الله عليه وآله) se rewaayat hai :


    اِنَّ الرَّحمَةَ لَا تَنزِلُ عَلَى قَومِِ فِيهِم قَاطِعُ رَحِم ، اِنَّ المَلَائِكَةَ لَا تَنزِلُ عَلَى قَومِِ فِيِهم قَاطِعُ الرَّحِم


    "beshak rahmat ous qaum wa geroh par naazil nahi hogi jis ke darmeyaan rishte'daaron se ta'alluq todne (توڑنے) waale hain, beshak farishte ous qaum wa geroh par naazil nahi hon ge jis ke darmeyaan rishte'daaron se naataa todne waale hain


    (sunni ketaab || kanzul'oummaal jild-3 p-367 h-6978 aur 6974 matbu'aah moas'sasa resaalah)



  10. Tazkiya aur aamaal ka paak hona ... :

  11. Imaam Baaqir (عليه السلام) ne farmaaya :


    صِلَةُ الاَرحَامِ تُزَكَّى الاَعمَالَ ، وَتَدفَعُ البَلوَى ، وَ تُنمِى الاَموَالَ ، وَتُنسِئَ لَهُ فِى عُمُرِهِ ، وَ تُوَسِّعُ فِى رِزقِهِ ، وَ تُحَبِّبُ فِى اَهلِ بِيتِهِ ، فَليَتَّقِ الله وَ ليَصِل رَحِمَهُ


    "sela'ae arhaam (sela'ae rahemi) aamaal ko paak karta hai (yaani aamaal ko naqaa'aes wa gunaah se paak karta hai ya is ke zariae se aamaal maqbul hote hain ya sawaab me aezaafa hota hai) aur bala ko dur karta hai, amwaal me barkat ata karta hai, oumr ko tulaani karta hai, rozi me wus'at wa kushaadgi ata karta hai aur logon ko ghar waalon aur rishte'daaron ke darmeyaan (nazdik) mahbub banaata hai pas khoda se daro aur sela'ae rahim karo


    (osul-e-kaafi jild-2 p-152 h-13 ketaabul eimaan wal kufr baab selatur'rahim)


Qat'ae rahemi se bachne ke liae chand baaten aekhtesaar ke saath :


  1. Jehaalat ko dur karen is liae ke baaz logon ko sela'ae rahemi ke fawaa'aed wa khubiyon ka eilm nahi hai aur qat'ae rahemi ke awaaqib (عواقب), noqsaanaat aur anjaam se waaqefiyat nahi hai

  2. Badaaei (بڑائی) ke izhaar aur takabbur jaiysi past khslat se bachen
    is liae ke jis me bhi ye razil sefaten hon gi wo rishte'daaron ko haqir samjhe ga, oun se mohabbat se pesh aane me aar (عار) mahsus kare ga, agar maqaamo ohda mil jaa'ae ya amir ho jaa'ae to rishte'daaron ki baat alag, wo khoda ko bhi bhul jaata hai

  3. Kasrate mezaah se parhez :

  4. is me zeyaadti duri ka sabab ban jaati hai lehaaza hansi mezaah me aetedaal zaruri hai


  5. Sakht naaraazgi se bachen :

  6. rishte daaron ki baat bardaasht karen, agar kisi baat ya ghalati par naraaz ho ga'ae to ghaltiyon se dar'guzar karen aur agar ghalti karne waala maazerat kare to ouse qabul karen, badla lene ki fikr nahi karni chaahiae


  7. Dunya me inhemaak se bachne ki koshish karen :

  8. baaz log TV, Mobile ... aur dunya kamaane me is qadr munhamik ho jaate hain ke sela'ae rahemi ki fursat hi nahi milti


    TV, Mobile ... ach'chha wa mofid hai lekin is waqt mo'aasharati buraaei ki tarah phail raha hai


    barre saghir me is ki wajah se mazbut khaandaani nezaam ka shiraaza bikhar raha hai


  9. Deen'daar banen aur taqwa aekhteyaar karen :

  10. is liae ke qat'ae rahemi ki aek mohim wajah eimaan me kamzori aur dini omur ki parwa na karna hai, zaahir hai jo dini omur ki parwa na kare to ouse qat'ae rahemi ki oqubaton wa sazaa'on ki bhi parwa wa tawajjoh nahi rahti warna khaufe khoda ki wajah se rishte'daaron se ta'alluqaat qaa'aem karta


  11. Begamaat, bad soluki na karen :

  12. baaz logon ki biwiyaan bad akhlaaq aur tang dil hoti hain, kisi ko bardaasht nahi karti hain, aiysi haalat me agar shauhar aiysi biwi ka ghulaam wa zan morid ho to (al-amaan panaah ba khoda) natija qat'ae rahemi hai, hatta dard'naak oqubaton ki parwa kiae beghair maa baap se bhi ta'alluqaat munqata kar dete hain


    ye chand wo asbaab the jo basa auqaat qat'ae rahemi ka baa'aes bante hain


    Lehaaza jo bataya gaya ous par amal karen phir Mohammad wa aal-e-Mohammad (صلوات الله علیهم) se tawassul ke zariae sela’ae rahemi ki taufiq ke liae Allah se madad maangen wa doa karen


Note :


  1. Sela’ae rahemi rishte'daaron ke paas rafto aamad me munhasir nahi balke ye kaam aek dusre ko tohfa dene, payghaam bhejne, khat likhne, ahwaal ki khabar giri, telephone karne, Email karne aur salaam karne … se bhi anjaam pa sakta hai. qat'ae rahemi se bachne ke liae isi qadr kaafi hai.

  2. Sela’ae rahemi ka kam az kam darjah ye hai ke aapas me salaamo kalaam ka silsela qaa’aem rahe.


    Amirul Momenin Ali (علیه السلام ) ne farmaaya :


    صِلُو اَرحَامَکُم وَ لَو بِالتَّسلِیم


    "apne rishte daaron wa qaraabat daaron se sela’ae rahemi karo chaahe salaam hi ke zariae keyon na ho"


    (osule kaafi - jild 2 p 155 - ketabul eimaan wal kufr – bab selatur rahim - Mazid hadisen isi bab me pad len)


  3. Niche recommend kiae ga'ae jawaab ko padhna mofid hai انشاءالله


والسلام

Syed Shamshad Ali Katokhari
khaadim-e-edaara-e-darul itrat azim Abaad / patna - shoba-e- sawalaat qum / iran


25 / جمادی الاولی / 1441 ھ.ق

Subscribe us on youtube

.
WhatsAppWhatsApp par sawaal karen